Jiske liye sub- kuchh saha,
usee-ne mujhe gehraa zakhm diyaa...
Shiddat se chaaha thaa jiss-ko kabhie,
aaj uss-se hi naata todd liyaa..
Khyaalo mein wo naa aa-jaye kahin,
maine tanhaa rehnaa chhodd diya..
Bheedd mein naa kho jaa-oon kahin,
maine mehfil me bhi jaana chhodd diyaa..
Wo fir se naa ghar banaa le kahin,
maine dil pe hai sakht pehraa diyaa..
Saanso mein thie baaki uski mehak,
to maine saans lenaa hi chhodd diyaa...
Zakhm
Tanhai
Jahan tum nahi the,
wahan thi tanhai....
Baras rahe the aansoon har ek abr se,
nikal rahi thi aah har ek dhadkan se,
simat gayi thi saanse seene me jab..
Jahan sub-kuchh khatm thaa,
Ummeed wahan tumne thi jagaayee...
Be-intehaan na-ittefaakkiyon kaa aalam thaa,
Zehan ajeeb see kush-makush me thaa,
Guzree jaa rahi thie zindagi tezi se jab..
Jahan andheron me kho gaye the hum ,
Roshni wahan tumne thi dikhayee...
Manzil
aaj kitnaa tanhaan hoon main,
aaj main kitna hairaan hoon,
saamne hai manzil meri,
per paane se darta hoon...
kho naa doon kahin sab kuchh apna
gar manzil tak badhtaa hoon,
toot na jaye sapna koi,
gar ye sapna bunta hoon..
kahin de naa dastak gum ki duniya,
gar ye khushiyaan chunta hoon,
chhoot naa jaye saathi mera,
gar ye raah pakadtaa hoon..
aaj kitnaa tanhaan hoon main,
aaj main kitna hairaan hoon,
saamne hai manzil meri,
per paane se darta hoon...
Intzaar
jo guzar gaye hain, unn lamhon ke,
laut aane kaa intezaar...
teri zulfon mein kho jaane ka,
teri baahon mein khud ko paane ka, Intezaar...
jheel see gehree teri aankhon mein,
doob jaane ka, intezaar...
tere seene pe sir rakh ke,
so jaane ka intezaar...
raat bhar teri pyaari baaton ko,
sun ke jagne kaa intezaar...
tujhko apnaa banake,
sang jeene ka, intezaar...
Intezaar, intezaar aur Intezaar....