Koi Ummeed Bar Nahin Aati
Koi Surat Nazar Nahin Aati
Maut Ka Ek Din Muayyan Hai
Nind Kyun Raat Bhar Nahin Aati
Aage Aati Thi Haal-E-Dil Pe Hansi
Ab Kisi Baat Par Nahin Aati
Jaanta Hoon Sawaab-E-Taat-O-Zahad
Par Tabiyat Idhar Nahin Aati
Hai Kuch Aisi Hi Baat Jo Chup Hoon
Warna Kya Baat Kar Nahin Aati
Kyun Na Chikhoon Ki Yaad Karte Hain
Meri Aawaaz Gar Nahin Aati
Daag-E-Dilagar Nazar Nahin Aata
Bu Bhi Ai Chaaragar Nahin Aati
Ham Wahaan Hain Jahaan Se Ham Ko Bhi
Kuch Hamaari Khabar Nahin Aati
Marte Hain Aarzu Main Marne Ki
Maut Aati Hai Par Nahin Aati
Kaaba Kis Munh Se Jaaoge ‘Ghalib’
Sharm Tumko Magar Nahinaati