Mai batata hoon sabse upper kya hai -zakir khan

Mai batata hoon sabse upper kya hai.
Sabse upper ek Maidaan hai, tumhari nazar se kahin aage aur tumhari soch se kai guna jayada bada.
Uss Maidaan ke beeche me ek Aalishaan Mahal hai, jiski deeware sabse chamakdaar chandi ki bani hai aur saare darwaze sone ke.
Mahal ke andar ghuste hi kuch Bala ki khoobsurat Pariya tumhare aage peeche naachne lagti hai. Yeh itni nazuk hai ki inka sabse bada kaam, takht par baithey badshah ko dheeme-dheeme pankha karna hai.
Bataya jaata hai ki theek mahal ke pass se ek thandi nadi behti hai, jiske sath ek jadooyi bagicha hai jahan khane ko tarah tarah ke pakwaan aur sath dene ko kuch panchi bhi aate hai. Yeh darte nahi hai, seedhe pass aa jaate hai.
Darssal yeh sab suni-sunayi baatein hai jinka haqeekat se koi naata nahi.
Mai batata hoon sabse upper kya hai.
Sabse upper maidaan bada toh hai par wahan sath khelne ko koi apna hai hi nahi. Jiski shiqayat karna bhi mana hai Kyunki sabse upper aane ki yahi toh pehli shart thi ki "Jab aaoge tab tanha hi aaoge". jisse uss waqt tumne lazmi maana aur haste haste dastakhat kar apni manzoori di thi.
Mai batata hoon sabse upper kya hai.
Sabse upper pahuchne se pehle safar me jo dost mile, bane ya jo tumhare sath nikle they sabse upper tak ka raasta tay karne ko. Woh sab kahin neeche chhut gaye hai. tum shayad aaj bhi unse utne hi lagav se milna chahte ho. Isiliye tum meelon ka maidaan par kar ke apni jaan jokhim me daal kar uss aakhri hisse tak jaa kar, har roz unke haal chal pooch lete ho. Woh bhi shuru me garm joshi se tumhe jawab dete hai. Par dheere dheere tumhare liye unki pasandgi ghatne lagti hai.
Shayad iski ek wajah yeh ki tum sabse upper ho aur woh thoda neeche ya kuch log thoda jayada neeche hain. tumse baat karne me unki gardaan dard karti hai. upper bane sone-chandi ke uss mahal ki chamak se unki aankhe laal hoti hai. Unn tak apni baat pahuchane ko jo tum poori takat se awaaz lagate ho, tumko andaaza bhi nahi hota ki unko woh cheekhna lagna hai. iss mazboot rishte ka har toota resha tumhe deekhta hai.
Neeche se shayad upper ka sab thoda dhundhla lagta ho par upper se sab saaf nazaar aata hai. Aap aapni aakho se apne dil-ajiz logon ko raqeebon me tabdeel hote bahut saaf dekh paate ho. Yeh bahut chubhta hai dil ko aur iske ghav bhi reh jaate hai.
Mai batata hoon sabse upper kya hai.
Sabse upper jo Mahal hai uski Chamakdaar chandi ki deewarein na toh baat kar sakti hai aur na woh sone ke darwazey koi kissa sunate hai. Sabse upper Naye Dost nahi bante. Qamiyabi ki inn imarton ka tilism kuch aisa hai ki yeh hoti toh sab barabar ki hai. Phir bhi aas pass walo ko koi bahut chota ya koi bahut unchaiyon par nazaar aati hai.
Agar maan lo ki aap aage se dosti ki hath bhi badhao, toh kissi ko aap iss rishte ki liye bahut adna aur kissi ke liye itne bade ki usse aapki niyaat par ki shak hone lagta hai. Yeh iss had tak hota hai ki jayadatar log jinhe sabse upper hone ki Aish-o-Ishrat hasil hai woh ek dusre ki maujoodgi tak ko quboolne se inkaar kar dete hai. Sab apne Gurur ki moti razai liye chubhne wali garm dhoop me bethey ek dusre ko nazaar toh aate hai lekin koi bhi kissi dusre ko awaaz tak nahi lagata.
Mai batata hoon sabse upper kya hai.
Sabse upper milne wali pariya Sirf takht par bethey uss badshah ko hi janti hai. Unhe na toh tumahre yahan tak pahuchne ki kahani maloom hai aur na hi safar ki dushwariya unki samjh ke daire me aati hai. Unhe Pankhe se hawa dena toh aata par iss mushkil raste ko tay karte waqt lage zakhmon par malham lagana ya yaadon ke ghav me padi mavaad saaf karna ka kaam, kam se kam unke bas ka toh nahi. Aiyashi ke neeche sukoon kahin dab kar maar jaata hai.
Lekin yahan tak pahuchne ki dusri shart bhi toh yahi thi. Sabse upper, Pahuchte hi aapke aish-oaram ki chabi dene se pehle jazbaati itminaan jama karva liya jaata hai. jiss uss waqt aapne haste haste hawale kiya tha, toh ab shiqayat kiss se karoge.
Mai batata hoon sabse upper kya hai.
Sabse upper kuch kuch jhoot hai, sabse upper Mahal ke theek pass woh jo thandi nadi bataiyi gayi thi, darassal woh tezaab ka ek jharna hai jime se tumhare liye neeche ke se aa rahi apno ki nafrat ucal-ucal ke nikalti hai.
wahan itni upper tak parindon me se sirf gidd aa paate hai. Jinki bhook unn pakwano se nahi mitti isliye woh nazdeek aa kar nauchte hai tumhare jism ko. tumko bhi maloom hai yeh, par yahi toh thi sabse upper aane ki teesri shart ki yahan pahuch kar tum auron ke kaam aaoge, jo sabse uper aati badal kar "Istmaal kiye jaoge" me tabdeel kar di gayi thi.
Mai batata hoon sabse upper kya hai.
Mahal, bagiche me aur maidaan me jahan jahan aise andhe khade hai jinme pair padte hi tum seedhe zameen ke aakhri tal me le ja kar patak diye jaaoge. isliye har kadam dekh kar sambhal kar uthana padta hai. itna sambhal kar chalna padta hai ki ek waqt ke baad aap apne takht se neeche tak nahi utarte.
Uss bade se maidaan ke beech bane uss sone chandi ke chamkdaar mahal me, jahan ass pass kuch behad khoobsurat pariya naachti hai aur baki ki tumhe pankhe se hawa karti hai wahan Takht par baithey tum khud ko qaid kar lete ho.
Sabse upper ek jail hai jiski chabi toh tumhare pass hai par taala kahan hai yeh kissi ko maloom nahi.
Sabse upper aane ki seedhiya toh hai par wapas jaane ka raasta ek gehri khaayi hai jisme se tumse pehle ke kai Badshahon ki laash ki bu ab talak aati hai.
Sabse upper batane ko baatein toh hai par unhe sunne wale yaar nahi.
Sabse upper Bada Mahal toh hai par woh log nahi jinhone tumhara tuta hua ghar dekha tha.
Sabse upper mai hoon.
Sabse upper tum ho sakte ho.
Bas, sabse upper "Hum" nahi hota.
Mai batata hoon sabse upper kya hai.
Zakir Khan

Nida Fazali- Safar mein dhoop to hogi jo chal sako to chalo (निदा फ़ाज़ली- सफ़र में धूप तो होगी जो चल सको तो चलो)

Safar mein dhoop to hogi jo chal sako to chalo

Safar mein dhoop to hogi jo chal sako to chalo
Sabhi hai bheed mein tum bhi nikal sako to chalo


Idhar udhar kai manzil hai chal sako to chalo
Bane banaye hain sanche jo dhal sako to chalo

Kisi ke waste raahein kahan badalti hain
Tum apne aap ko khud hi badal sako to chalo


Yahan kisi ko koi rasta nahin deta
Mujhe gira ke agar tum sambhal sako to chalo

Yahi hai zindagi kuchh khwab chand ummidein
Inhin khilono se tum bhi bahal sako to chalo

Har ik safar ko hai mahfoos raston ki talash
Hifajton ki rivayat badal sako to chalo

Kahin nahin koi sooraj, dhuan dhuan hai fiza
Khud apne aap se bahar nikal sako to chalo

Nida Fazali

सफ़र में धूप तो होगी जो चल सको तो चलो

सफ़र में धूप तो होगी जो चल सको तो चलो
सभी हैं भीड़ में तुम भी निकल सको तो चलो

इधर उधर कई मंज़िल हैं चल सको तो चलो
बने बनाये हैं साँचे जो ढल सको तो चलो

किसी के वास्ते राहें कहाँ बदलती हैं
तुम अपने आप को ख़ुद ही बदल सको तो चलो

यहाँ किसी को कोई रास्ता नहीं देता
मुझे गिराके अगर तुम सम्भल सको तो चलो

यही है ज़िन्दगी कुछ ख़्वाब चन्द उम्मीदें
इन्हीं खिलौनों से तुम भी बहल सको तो चलो

हर इक सफ़र को है महफ़ूस रास्तों की तलाश
हिफ़ाज़तों की रिवायत बदल सको तो चलो

कहीं नहीं कोई सूरज, धुआँ धुआँ है फ़िज़ा
ख़ुद अपने आप से बाहर निकल सको तो चलो

निदा फ़ाज़ली

Ghalib - Koi Ummeed Bar Nahin Aati

Koi Ummeed Bar Nahin Aati
Koi Surat Nazar Nahin Aati

Maut Ka Ek Din Muayyan Hai
Nind Kyun Raat Bhar Nahin Aati

Aage Aati Thi Haal-E-Dil Pe Hansi
Ab Kisi Baat Par Nahin Aati

Jaanta Hoon Sawaab-E-Taat-O-Zahad
Par Tabiyat Idhar Nahin Aati

Hai Kuch Aisi Hi Baat Jo Chup Hoon
Warna Kya Baat Kar Nahin Aati

Kyun Na Chikhoon Ki Yaad Karte Hain
Meri Aawaaz Gar Nahin Aati

Daag-E-Dilagar Nazar Nahin Aata
Bu Bhi Ai Chaaragar Nahin Aati

Ham Wahaan Hain Jahaan Se Ham Ko Bhi
Kuch Hamaari Khabar Nahin Aati

Marte Hain Aarzu Main Marne Ki
Maut Aati Hai Par Nahin Aati

Kaaba Kis Munh Se Jaaoge ‘Ghalib’
Sharm Tumko Magar Nahinaati

Kumar Vishwas – Chehre par chanchal lat uljhi, Aankho me sapne suhane hai (कुमार विश्वास – चेहरे पर चँचल लट उलझी, आँखों मे सपन सुहाने हैं)

Chehre par chanchal lat uljhi, Aankho me sapne suhane hai

Chehre par chanchal lat uljhi, Aankho me sapne suhane hai
Ye wahi purani rahe hai, ye din bhi wahi purane hai

Kuch tum bhooli, kuch mein bhoola, manjil fir se aasan hui
Hum mile achanak jaise fir, pehli pehli pehchan hui
Ankho ne fir se padhi aankhe, na shikve hai na taane hai
Chehre par chanchal lat uljhi, Aankho me sapne suhane hai

Tumne kaandhe par sir rakhkar, jab dekha fir se ek bar
Jud gaya purani veena ka, jo toot gaya thha ek taar
Fir wahi saaj dhadkan waala, fir wahi milan ke gaane hai
Chehre par chanchal lat uljhi, Aankho me sapne suhane hai

Aao hum dono ki saanso ka ek wahi aadhar rahe
Sapne, umide, pyas mite, bas pyar rahe bas pyar rahe
Bas pyar amar hai duniya me sab rishte aane jaane hai
Chehre par chanchal lat uljhi, Aankho me sapne suhane hai….

Kumar Vishwas

चेहरे पर चँचल लट उलझी, आँखों मे सपन सुहाने हैं

चेहरे पर चँचल लट उलझी, आँखों मे सपन सुहाने हैं
ये वही पुरानी राहें हैं, ये दिन भी वही पुराने हैं

कुछ तुम भूली कुछ मै भूला मंज़िल फिर से आसान हुई
हम मिले अचानक जैसे फिर पहली पहली पहचान हुई
आँखों ने पुनः पढी आँखें, न शिकवे हैं न ताने हैं
चेहरे पर चँचल लट उलझी, आँखों मे सपन सुहाने हैं

तुमने शाने पर सिर रखकर, जब देखा फिर से एक बार
जुड गया पुरानी वीणा का, जो टूट गया था एक तार
फिर वही साज़ धडकन वाला फिर वही मिलन के गाने हैं
चेहरे पर चँचल लट उलझी, आँखों मे सपन सुहाने हैं

आओ हम दोनो की सांसों का एक वही आधार रहे
सपने, उम्मीदें, प्यास मिटे, बस प्यार रहे बस प्यार रहे
बस प्यार अमर है दुनिया मे सब रिश्ते आने-जाने हैं
चेहरे पर चँचल लट उलझी, आँखों मे सपन सुहाने हैं ….

कुमार विश्वास

Kitne Aish Se Rahte Honge Kitne Itraate Honge – Jaun Eliya

Kitne aish se rahte honge, kitne itraate honge
Jaane kaise log woh honge jo usko bhaate honge .!

Shaam hue khush-bash yahan ke mere paas aa jaate hain
Mere bujhne ka nazaara karne aa jaate honge .!

Woh jo na aane wala hai na us se mujh ko matlab tha
Aane walon se kya matlab, aate hain aate honge .!

Uski yaad ki baad-e saba mein aur toh kya hota hoga
Yunhi mere baal hain bikhre aur bikhar jaate honge .!

Yaaro kuchh toh zikr karo tum uski qayamat baanhon ka
Woh jo simaTte honge un mein woh toh mar jaate honge .!

Mera saans ukhadte hi sab bain karenge royenge
Yaani mere baad bhi yaani saans liye jaate honge .!!

– Jaun Eliya

Baat Se Baat ki Gehrai Chali Jaati Hai..

Baat se baat ki gehraai chali jaati hai
jhooth aa jaaye toh sachchaai chali jaati hai.
Raat bhar jaagte rahne ka amal theek nahin
chaand ke ishq mein binaai chali jaati hai.

Maine is shehar ko dekha bhi nahin jee bhar ke
aur tabiyat hai ki ghabraai chali jaati hai.

Kuchh dinon ke liye manzar se agar hat jaao
zindagi bhar ki shanasaai chali jaati hai.

Pyaar ke geet hawaaon mein sune jaate hain
daF bajaati hui ruswaai chali jaati hai.

Chhap se girti hai koi cheez ruke paani mein
door tak phaTti hui kaai chali jaati hai.

Mast karti hai mujhe apne lahoo ki khushboo
zakhm sab khol ke purvaai chali jaati hai.

Dar-o deewaar pe chehre se ubhar aate hain
jism banti hui tanhaai chali jaati hai. !!

बात से बात की गहराई चली जाती है
झूठजाए तो सच्चाई चली जाती है।

रात भर जागते रहने का अमल ठीक नहीं
चाँद के इश्क़ में बीनाई चली जाती है।

मैंने इस शहर को देखा भी नहीं जी भर के
और तबीयत है कि घबराई चली जाती है।

कुछ दिनों के लिए मंज़र से अगर हट जाओ
ज़िंदगी भर की शनासाई चली जाती है।

प्यार के गीत हवाओं में सुने जाते हैं
दफ़ बजाती हुई रूस्वाई चली जाती है।

छप से गिरती है कोई चीज़ रूके पानी में
दूर तक फटती हुई काई चली जाती है।

मस्त करती है मुझे अपने लहू की खुश्बू
ज़ख़्म सब खोल के पुरवाई चली जाती है।

दर-ओ दीवार पे चेहरे से उभर आते हैं
जिस्म बनती हुई तन्हाई चली जाती है।।

Kumar vishwas - Pagli ladki

                            Pagli Ladki

Mawas Ki Kaali Raaton Mein, Dil Ka Darwaja Khulta Hai,
Jab Dard Ki Kaali Raaton Mein Gum Ansoon Ke Sang GhultaHain,
Jab Pichwade Ke Kamre Mein Hum Nipat Akele Hote Hain,
Jab Ghadiyan Tik-Tik Chalti Hain, Sab Sote Hain, Hum Rote Hain,
Jab Baar Baar Dohrane Se Saari Yaadein Chuk Jaati Hain,
Jab Unch-Neech Samjhane Mein, Mathe Ki Nas Dukh Jaati Hain,
Tab Ek Pagli Ladki Ke Bin Jeena Gaddari Lagta Hai,
Aur Us Pagli Ladki Ke Bin Marna Bhi Bhari Lagta Hai.

Jab Pothe Khali Hote Hain, Jab Harf Sawali Hote Hain,
Jab Gazlen Raas Nahin Aatin, Afsane Gaali Hote Hain.
Jab Baasi Feeki Dhoop Sametein Din Jaldi Dhal Jaata Hai,
Jab Suraj Ka Laskhar Chhat Se Galiyon Mein Der Se Jaata Hai,
Jab Jaldi Ghar Jaane Ki Ichha Mann Hi Mann Ghut Jaati Hai,
Jab College Se Ghar Laane Waali Pahli Bus Chhut Jaati Hai,
Jab Beman Se Khaana Khaane Par Maa Gussa Ho Jaati Hai,
Jab Lakh Mana Karne Par Bhi Paaro Padhne Aa Jaati Hai,
Jab Apna Har Manchaha Kaam Koi Lachari Lagta Hai,
Tab Ek Pagli Ladki Ke Bin Jeena Gaddari Lagta Hai,
Aur Us Pagli Ladki Ke Bin Marna Bhi Bhari Lagta Hai.

Jab Kamre Mein Sannate Ki Awaj Sunai Deti Hai,
Jab Darpan Mein Aankhon Ke Neeche Jhai Dikhai Deti Hai,
Jab Badki Bhabhi Kahti Hain, Kuchh Sehat Ka Bhi Dhyan Karo,
Kya Likhte Ho Dinbhar, Kuchh Sapnon Ka Bhi Samman Karo,
Jab Baba Waali Baithak Mein Kuchh Rishte Waale Aate Hain,
Jab Baba Humein Bulate Hain, Hum Jaate Hain, Ghabrate Hain,
Jab Saari Pahne Ek Ladki Ka  Photo Laya Jaata Hai,
Jab Bhabhi Humein Manati Hain, Photo Dikhlaya Jaata Hai,
Jab Saare Ghar Ka Samjhana Humko Fankari Lagta Hai,
Tab Ek Pagli Ladki Ke Bin Jeena Gaddari Lagta Hai,
Aur Us Pagli Ladki Ke Bin Marna Bhi Bhari Lagta Hai.

Didi Kahti Hain Us Pagli Ladki Ki Kuchh Aukat Nahin,
Uske Dil Mein Bhaiya Tere Jaise Pyare Jajbat Nahin,
Woh Pagli Ladki Meri Khatir Nau Din Bhooki Rahti Hai,
Chup-Chup Saare Vrat Karti Hai, Par Mujhse Kuch Na Kahti Hai,
Jo Pagli Ladki Kahti Hai, Main Pyar Tumhi Se Karti Hoon,
Lekin Mein Hoon Majboor Bahut, Amma-Baba Se Darti Hoon,
Us Pagli Ladki Par Apna Kuchh Bhi Adhikar Nahin Baba,
Yeh Katha-Kahani Kisse Hain, Kuchh Bhi To Saar Nahin Baba,
Bas Us Pagli Ladki Ke Sang Jeena Fulwari Lagta Hai,
Aur Us Pagli Ladki Ke Bin Marna Bhi Bhari Lagta Hai.

                          पगली लड़की

मावस  की  काली  रातों  में,  दिल  का  दरवाजा  खुलता  है ,
जब  दर्द  की काली रातों  में,  गम  आंसूं के  संग घुलता हैं ,
जब  पिछवाड़े  के  कमरे  में , हम  निपट  अकेले  होते  हैं ,
जब  घड़ियाँ  टिक -टिक  चलती  हैं , सब  सोते  हैं , हम  रोते  हैं ,
जब  बार  बार  दोहराने  से  , सारी  यादें  चुक  जाती  हैं ,
जब  उंच -नीच  समझाने  में , माथे  की  नस  दुःख  जाती  हैं ,
तब  एक  पगली  लड़की  के  बिन  जीना  गद्दारी लगता  है ,
और  उस  पगली  लड़की  के  बिन  मरना  भी  भारी  लगता  है .

जब  पोथे    खाली  होते  हैं , जब  हर्फ़ सवाली  होते  हैं ,
जब  ग़ज़लें  रास  नहीं  आतीं , अफसाने  गाली  होते  हैं .
जब  बासी  फीकी  धुप  समेटें , दिन  जल्दी  ढल  जाता  है ,
जब  सूरज  का  लश्कर , छत  से  गलियों  में  देर  से  जाता  है ,
जब  जल्दी  घर  जाने  की  इच्छा , मन  ही  मन  घुट  जाती  है ,
जब  कॉलेज  से  घर  लाने  वाली , पहली  बस  छुट  जाती  है ,
जब  बेमन  से  खाना  खाने  पर , माँ   गुस्सा  हो  जाती  है ,
जब  लाख  मन  करने  पर  भी , पारो  पढने  आ  जाती  है ,
जब  अपना  हर  मनचाहा  काम   कोई  लाचारी  लगता  है ,
तब  एक  पगली  लड़की  के  बिन  जीना  गद्दारी  लगता   है ,
और  उस   पगली  लड़की  के  बिन  मरना  भी  भारी  लगता  है

जब  कमरे  में  सन्नाटे  की  आवाज  सुनाई देती  है ,
जब  दर्पण  में  आँखों  के  नीचे  झाई  दिखाई  देती  है ,
जब  बड़की भाभी  कहती  हैं , कुछ  सेहत  का  भी  ध्यान  करो ,
क्या  लिखते  हो  दिनभर , कुछ  सपनों  का  भी  सम्मान  करो ,
जब  बाबा  वाली  बैठक  में  कुछ  रिश्ते  वाले  आते  हैं ,
जब  बाबा  हमें  बुलाते  हैं , हम  जाते  हैं , घबराते  हैं ,
जब  साड़ी  पहने  एक  लड़की  का  फोटो  लाया  जाता  है ,
जब  भाभी  हमें  मनाती  हैं , फोटो  दिखलाया  जाता  है ,
जब  सारे  घर  का   समझाना  हमको  फनकारी  लगता  है ,
तब  एक  पगली  लड़की  के  बिन  जीना  गद्दारी  लगता  है ,
और  उस  पगली  लड़की  के  बिन  मरना  भी  भारी  लगता  है

दीदी  कहती  हैं  उस  पगली  लड़की  की   कुछ  औकात  नहीं ,
उसके  दिल  में  भैया  , तेरे  जैसे  प्यारे  जज्बात   नहीं ,
वो पगली  लड़की मेरी खातिर  नौ  दिन  भूखी   रहती  है ,
छुप  -छुप  सारे  व्रत  करती  है , पर  मुझसे कुछ  ना  कहती  है ,
जो  पगली  लड़की  कहती  है , मैं  प्यार  तुम्ही  से  करती  हूँ ,
लेकिन  मै  हूँ  मजबूर  बहुत , अम्मा -बाबा  से  डरती  हूँ ,
उस  पगली  लड़की  पर  अपना  कुछ भी अधिकार  नहीं  बाबा ,
ये   कथा -कहानी   किस्से  हैं , कुछ  भी  तो  सार  नहीं  बाबा ,
बस  उस  पगली  लड़की  के  संग   जीना  फुलवारी  लगता  है ,
और  उस  पगली  लड़की  के   बिन  मरना  भी  भारी  लगता  है।

Koi achi si saza

Koi achchi si SAZA do mujhko,
Chalo aisa karo BHULLA do mujhko,

Apne DIL me basi TASVIR meri,
Aisa karo JALA do usko,

Meri WAFA pe agar SHAK hai tumko,
Tu phir NAZAR se gira do mujh ko,

Muddat hogai hai tere HIJR me jagte howe,
Apni sanso ki HARARAT se sula do mujhko,

Kuch tu TARAS karo apne DIWANE per,
JAAM na sahi ZEHER hi pila do mujhko,

Tum se bichron tu MAUT aa jai mujhko,
Dil ki Gehrayon se aisi DUA do mujhko

love shayeri, Best romantic poem, Pyar bhari shayeri

RuBaRu Milne Ka Mauka Milta Nahin Hai Roj,
Isliye Lafzon Se Tum Ko Chhu Liya Maine.
रूबरू मिलने का मौका मिलता नहीं है रोज,
इसलिए लफ्ज़ों से तुमको छू लिया मैंने।

Jannat-e-Ishq Mein Har Baat Ajeeb Hoti Hai,
KisiKo Aashiqi Toh KisiKo Shayari Naseeb Hoti Hai.
जन्नत-ए-इश्क में हर बात अजीब होती है,
किसी को आशिकी तो किसी को शायरी नसीब होती है।

Meri Aankhon Mein Yahi Hadd Se Jyada BeShumaar Hai,
Tera Hi Ishq, Tera Hi Dard, Tera Hi Intezaar Hai.
मेरी आँखों में यही हद से ज्यादा बेशुमार है,
तेरा ही इश्क़, तेरा ही दर्द, तेरा ही इंतज़ार है।

Agar Ishq Karo Toh Aadaab-e-Wafa Bhi Seekho,
Yeh Chand Din Ki Bekaraari Mohabbat Nahin Hoti.
अगर इश्क करो तो आदाब-ए-वफ़ा भी सीखो,
ये चंद दिन की बेकरारी मोहब्बत नहीं होती।

Khamosh Labon Se Nibhana Tha Humko Ye Rishta,
Par Dil Ki Dhadkanon Ne Chahat Ka Shor Macha Diya.
खामोश लबों से निभाना था हमको ये रिश्ता,
पर धड़कनों ने चाहत का शोर मचा दिया।

Mai shunya pe sawaar hoon- Zakir khan




Mai Shunya pe sawaar hoon
Be adab sa mai khumar hoon
Mushkilo se mai kya darun
Mai khud keher hazaar hoon .....

Ki unch neech se pare
Majal aankh me bhare 
Mai lad pada hu raat se 
Mashaal haath me liye ...
Na surya mere sath hai..to kya nayi ye baat hai
Wo sham ko tha dhal gya..
Wo raat se tha darr gaya

Mai jugnooyon ka yaar hu 
Mai shunya pe sawar hu!!

Hu raam ka sa tej main,
Lankapati sa gyaan hoon,
Kiski karoon araadhana sab se jo main mahan hoon,
Brahaman ka main sar hoon,
Main jal pravah nihar hoon,
Main shunya pe sawar hoon.....
Main shunya pe sawar hoon

Ki bhavnayein hai mar chuki
Samvednayein ab khatm hai
Ki ab dard se kya darun
Zindagi hi Zakhm hai.....
Mai beech rah ki maat hu 
Be chaand syaah raat hu ... 
Mai kaali ka shringaar hu
Mai shunya pe sawar hu...

ZAKIR KHAN POETRY

Mai doob raha hoon, apne hi bhavar mein.
Roz Doob raha hoon.
mere antarmann me Hazaron sunamiya aati hai.
Meri Atma ko apne gehre andheron me kheechti hai.
Badi darawni jagah hai woh, koi kabhi mat aana wahan.
Jahan mai.... roz doobta hoon.
Doobta hoon, ubharta hoon, Ladta hoon khud hi se
aur
...Phir Uthkar aa jaata hoon apna tamasha le kar.
tumse hath nahi manga kyunki
bhavar bahut tez hai,
bahut tez hai yeh mere jee ka bhavar.
Mai toh doob hi raha hoon,
tumhe sath le kar nahi doobna chahta.
Nahi chahta ki iss sunami ka ek chitta bhi
ksisi mere apne par padhe.
Jaise mai kho raha hoon khud ko,
waise mai tumhe nahi khona chahta.
Mere antandvand ki sabse aachi baat yeh
ki iss me Har roz mai hi jeetta hoon.
Aur sabse bhayavar baat yeh ki
Mai hi hoon jo har roz apne hi aap se haar raha hoon.
Roz haar raha hoon, lagatar haar raha hoon.
na jeet ka koi tamga milta hai
na haar ke ghav dekhte hai.
bas sab kuch khali rehta hai,
haan yeh mai keh raha hoon. theek suna tumne
Ki mai Doob raha hoon, Roz doob raha hoon.
Apne hi bhavar me.
Par
Mai lada hoon, laduga.
Aaj dooba hoon, par ubhrunga aur kal...
Phir Uthkar aa jauga apna tamasha le kar.

ZAKIR KHAN : MERE KUCH SAWAL HAI

Mere kuch sawaal hai jo sirf Qayamatt ke roj puchhunga tumse,
Kyuki uske pehle tumhari aur meri baat ho sake iss laayak nahi ho tum…

Main janana chahta hu kya raqib ke saath bhi chalte hue,
Shaam ko yunhi bekhayali main uske saath bhi kya haat takkra jaat hai kya tumhara?

Kya apni chhoti ungli se uska bhi haat thaam liya karti ho tum,
Kya waise hai jaise mera thhama karti thi…?

Kya bataadi saari bhachpan ki kahaniya tumne usko jaise mujhko raat raat bhar baith kar sunaai thi tumne…?

Kya tumne bataya usko ke 30 ke aage ki hindi ki ginti aati nahi tumko…?

Wo jo saari tasverein tumhare papa ke saath , tumhari behen ke saath tumhari thi, jinme tum mujhe badi pyaari lagg rahi ho,
Kya use bhi dikhaadi tumne…?

Ke kuch sawaal hai jo sirf Qayamatt ke roj puchunga tumse,
Kyuki usske pehle tumhari aur meri baat ho sake iss laayak nahi ho tum…

Ke main puchhna chahta hu kya jab wo bhi ghar chhodne aata hai tumko,
To kya seedhiyo pe aankhein neech kar meri hi tarah uske saamne bhi maatha aage kar deti ho tum,
Waise hi jaisa mere saamne kiya karti thi…?

Kya sard raaton mein band kamro mein wo bhi meri hi tarah,
Tumhari nangi peeth par apni ungliyo se harf dar harf khudka ka naam gondta hai,
Aur tum bhi Akshar-be-akshar pehchaanane ki koshish karti ho kya jaise mere saath kiya karti thi…?

Ke kuch sawaal hai jo sirf Qayamatt ke roj puchunga tumse,
Kyuki usske pehle tumhari aur meri baat ho sake iss laayak nahi ho tum…

ZAKIR KHAN SHAYARI

ZAKIR KHAN : TERI BEWAFAAI

Teri Bewafaai ke Angaaro mein lipti rahi hai Rooh meri,
Main iss tarah Aag na hota agar ho jaati tu meri…
Ekk saans se dehek jaata hai shola Dil ka,
Shaayad hawaaon mein faili hai Khushboo teri

ZAKIR KHAN SHAYARI : YUN ISS TARHA

YUN ISS TARHA MAINE TERE MERE ISHQ KA ITIHAAS LIKHA HAI,
MAINE HAR NOTEBOOK KE PICCHE KUCH NA KUCH KHAAS LIKHA HAI…
TUM FACEBOOK PE CHECK-IN CHAHE JAHA SE KARO,
MAINE APNI DIARY MAIN TO TUMHE APNE PAAS RAKHA HAI…

ZAKIR KHAN POETRY : MAASUM LADKI

BOHOT MAASUM LADKI HAI, ISHQ KI BAAT NAHI SAMAJHTI,
NA JAANE KIS DIN MEIN KHOI REHTI HAI, MERI RAAT NAHI SAMJHTI…
HAAN, HMM, SAHI BAAT HAI…! TO KEHTI HAI,
ALFAAZ SAMAJH LETI HAI MAGAR JAZBAAT NAHI SAMJHTI…

ZAKIR KHAN SHAYARI : YUN TOH

Yun to bhoole hai hume log kayi pehle bhi bohot se,
Par tum jitna unme se kabhi koi yaad nahi aata…

Zakir Khan’s Shayari

MAANA KI TUMKO BHI ISHQ KA TAJURBA KAMM NAHI,
HUMNE BHI TO BAAGO MEIN HAI KAYI TITLIYA UDAAYI…

****

ZINDAGI SE KUCH JYAADA NAHI BASS ITNI SI FARMAAISH HAI,
AB TASWEER SE NAHI, TAFSEEL SE MILNE KI KHWAAISH HAI…

****

ISHQ KO MAASUM REHNE DO, NOTEBOOK KE AAKHRI PANNE PAR,
AAP USSE KITAABON MEIN DAAL KE MUSHKIL NA KIJIYE…

****

KAMYAABI,TERE LIYE HUMNE KHUDKO KO KUCH YUN TAIYAAR KAR LIYA,
MAINE HAR JAZBAAT BAAZAR MEIN RAKH KAR ISHTEHAAR KAR LIYA…

Mera Apna Tajurba Hai - Dr. Kumar Vishwas

Mera apna tajurba hai,
tumhein batla raha hoon main,
koi lab choo gaya tha tab,
ke ab tak gaa raha hoon main.

bichur ke pyar mein kaise jiya jaaye bina tadpe
jo mai khudh hi samjha wahi samjha raha hoon.

kisi patthar mein moorat hai,
koi patthar ki moorat hai,
lo humne dekli dunia jo itni khoobsoorat hai
zamana apni samje par mujhe apni khabar ye hai,
tujhe meri zaroorat hai, mujhe teri zaroorat hai.

- Dr. Kumar Vishwas

Mirza Galib - Shayari

                        Mirza Galib

"Kitna khauf hota hai shaam ke andheron mein,
Pooch un parindon say jin kay ghar nahi hotay"

--

"Hazaron Khwahishein aisi ki har khwahish pay dum nikale,
Bahut nikle meray armaan lekin phir bhi kum nikle"

--

"Waiz! Teri duaon mein asar ho to masjid ko hila kay dikha,
Nahin to do ghoont pee, aur masjid ko hilta dekh"

--

"Haathon ki lakeeron pe mat ja ae Galib,
Naseeb unke bhi hote hain jinke haath nahi hote"

--

"Koi veerani si veerani hai,
Dasht ko dekh ke ghar yaad aya"

Koi Deewana Kehta Hai - Dr. Kumar Viswas

Koi deewana kehta hai, koi pagal samajhta hai,
Magar dharti ki bechaini ko bas badal samajhta hai
Main tujhse door kaisa hoon, tu mujhse door kaisi hai
Ye tera dil samajhta hai ya mera dil samajhta hai..

--

Mohbbat ek ehsaason ki pawan si kahani hai
Kabhi Kabira deewana tha, kabhi meera deewani hai
Yahan sab log kehte hain meri aankhon main aasoon hain
Jo tu samjhe to moti hain, jo na samjhe to paani hain

--

Bahut bikhra bahut toota thapede seh nahin paaya
Hawaaon ke isharon par magar main beh nahin paaya
Adhoora ansuna hi reh gaya yun pyar ka kissa
Kabhi tum sun nahin paaye, kabhi main keh nahin paaya

--

Samandar peer ka andar hai lekin ro nahi sakta
Ye ansoon pyar ka moti hai isko kho nahi sakta
Meri chahat ko dulhan tu bana lena magar sunle
Jo mera ho nahi paya wo tera ho nahi sakta

--

Bhramar koi kumudni par machal baitha to hungama
Hamare dil main koi khwaab pal baitha to hungama
Abhi tak doob ke sunte sab kissa mohhabat ka
Main kisse ko haqeekat main badal baitha to hungama

Singer : Dr. Kumar Viswas