Shayari by muneer niazi

Muneer/Munir Niazi  Shayari
*

Zinda rahen to kya hai jo mar jayen ham to kya
Duniya main khamoshi se guzar jayen ham to kya

*

Hasti hi apni kya hai zamane ke samne
Ek khwab hain jahaN main bikhar jayen ham to kya

*

Ab kaun muntazir hai hamare liye wahan
Shaam aa gai hai laut ke ghar jayen ham to kya

*

Dil ki khalish to sath rahegi tamam umr
Dariya-e-gam ke paar utar jayen ham to kya

SHAYARI BY MUNEER NIAZI

Shayari   BY MUNEER NIAZI

Raat falak par rang-birangi aag ke gole chhoote
Phir baarish wo zor se barsi mahek uthe gul-boote

💜

Us ki aankh ke jaadu ki har aik kahaani sachchi
Mere dil ke KhooN hone ke sab afsaane jhuute

💜

Pahle-pahal to jee n lagaa, pardes ke in logoN men
Raftaa-raftaa apne ghar se saare naate toote

Ye to sach hai sab ne mil kar dil-joi bhi ki thi
Apni ruswai ke maze bhi, sab yaaron ne loote

ZINDA RAHEN TO KYA HAI

Zinda Rahen To Kya Hai Jo Mar Jayen Ham To Kya
Duniya Main Khamoshi Se Guzar Jayen Ham To Kya

Hasti Hi Apni Kya Hai Zamane K Samne
Ek Khwab Hain Jahan Main Bikhar Jayen Ham To Kya

Ab Kaun Muntazir Hai Hamare Liye Wahan
Sham A Gai Hai Laut K Ghar Jayen Ham To Kya

Dil Ki Khalish To Sath Rahegi Tamam Umr
Dariya-E-Gam K Par Utar Jayen Ham To Kya

By MUNIR NIAZI

HAMESHA DER KAR DETA HUN MAIN

Hamesha Der Kar Deta Hun Main

Zaruri Bat Kahni Ho
Koi Wada Nibhana Ho
Use Awaz Deni Ho
Use Wapas Bulana Ho
Hamesha Der Kar Deta Hun Main

Madad Karni Ho Uski
Yar Ki Dharas Bandhana Ho
Bahut Derina Raston Par
Kisi Se Milne Jana Ho
Hamesha Der Kar Deta Hun Main

Badalte Mausamon Ki Sair Main
Dil Ko Lagana Ho
Kisi Ko Yad Rakhna Ho
Kisi Ko Bhul Jana Ho
Hamesha Der Kar Deta Hun Main

Kisi Ko Maut Se Pahle
Kisi Gam Se Bachna Ho
Haqiqat Aur Thi Kuch
Us Ko Ja K Ye Batana Ho
Hamesha Der Kar Deta Hun Main

By Munir Niazi