Tum poochte nahi ab
Tum poochte toh nahi ho ab,
Phir bhi bata deta hoon din ki sabhi baatein tumko. kisne kya kaha, Kiss Se mila
Kaun aachanak takraa gaya
aur woh jo sadak par aise hi bus ke intazaar me dekh liya maine.
Yeh sab samet kar,
apni jeb me bharta rehta hoon.
Jaise kuch hisab dena hai, har din har lamhe ka tumko.
Par tum poochte nahi ab,
Mai akela bhi 2 logon ki tarah rehta hoon, Mujhe khaali ghar me aana pasand nahi, na ghar khaali chhod kar jaana.
Phir bhi...
Sabse aise rukhsat hota hoon, Jaise naraz ho jaogi tum
Jo mai waqt se wapas nahi lauta.
Raaste me der hone ke, bahane bhi sochta hoon.
Tumse daant bhi kha liya karta hoon.
Hum mein jab Mai akela hota hoon,
Tab bhi tum hi aachi aur sahi hoti ho. Aur bhi hai kuch kuch aisa hi batane layak.
Par
Tum poochte hi nahi ho ab.
By zakir khan (apne log)