Intezaar

Har raat chand aur sitare nazar aate hain
Par na tum aate ho, na hi tumhare aane ke aasar nazar aate hain
Rahon mein khade rahe hum
Subhah se sham ho gayi
Ab toh aisa lagta hai, jaise har koshish naakam ho gayi
Tumhare kadmon ke nishan aaj bhi nazar aate hain
Par na tum aate ho, na hi tumhare aane ke aasar nazar aate hain
Palat kar bhi nahin dekha
Kuch socha bhi nahih
Hum toh tumhe apna kehte thay
Par tumne humei apna samjha hi nahin
Kitni aasani se har rishta tod diya tumne
Kya khata ki jo raaste mein chod diya tumne
Kitne mausam aate hain aur
Aakar guzar jaate hain
Par na tum aate ho, na hi tumhare aane ke aasar nazar aate hain
Ek din meri aawaz tum tak jaayegi zaroor
Jise sun kar tumhare dil se aah nikle gi zaroor
Tabh tum jaan jaaoge, tumse pyaar karte hain hum
Tumhari bewafai bhi wafa lagi humko
Isliye toh aaj tak kar
Intezaar karte hain hum.

No comments:

Post a Comment