Ek rooh se alag alag

Ik rooh se alag alag
shayad hai maut
jism se ik jism ka rooth jaana
shayad hai maut
kya hai maut
kuch pal ki neend
kuch pal ka sukoon
ya phir mere khayaalo ki duniya
khud ke khwabo mein ik khwab banana
shayad hai maut

- masroor kalam

Manzoor hai sayad

Bichar Jana Mera Yon Bhi Ussy Manzoor Hai Shayd~
Kare To Kya Kare Wo Bhi Bohat Majboor Hai Shayd~

Main Us Ka Sheher Hi Chor Aaya Hon To Kya Hasil~
Meri Manzil Muhabbat Ki Abhi Kuch Door Hai Shayd~

Me Us K Pyar Me Har Shakhs Se Begana Rehta Hoon~
Sabhi Mehsoos Karte Hain Boht Maghrur Hun Shayd

Nishan tak na milain gay

Nishan Tak Na Milain Gay Meri Wafa Ke Usay,
Ke Maine Rah Badal Di Hai Aazma Ke Usay … !

Kabhi Na Harf Koi Uski Sadgi Ka Khula,
Warq Warq Parha Maine Dil Laga Ke Usay … !!

Jo Sab Ka Haal Hua Tha Wo Mera Haal Hua,
Bani Na Baat Koi Bat Bhi Suna Ke Usay … !!!

Mujhe Yaqeen Hai Wo Laut Kar Bhi Ayega,
Magr Udaas Hun Ab Raasta Dikha Ke Usay … !!!!

Dil dhadkane ka sabab yaad aaya

Dil Dhadkane Ka Sabab Yaad Aaya
Woh Teri Yaad Thi Ab Yaad Aaya

Aaj Mushkil Tha Sambhalna Aye Dost
Tu Musibat Mein Ajab Yaad Aaya

Haal-e-Dil Hum Bhi Sunate Lekin
Jab Woh Rukhsat Huey Tab Yaad Aaya

Phir Kayee log Nazar Se Guzre
Phir Koi Sharab-e-Tarab Yaad Aaya

Din Guzara Tha Badi Mushkil Se
Phir Tera Wada-e-Shab Yaad Aaya

Tera Bhula Hua Paimane-e-Wafa
Mar Rahenge Agar Ab Yaad Aaya

Baith Kar Saaya-e-Gul Mein
Nasir
Hum Bohat Roye Woh Jab Yaad

Wafa bechni hai

Suno koi khareedar hai nazar mai?
Muflisi k din hai, wafa bechni hai..!!

Pighla na wo na main

Koh-e-Anaa Ki Baraf Thi , Dono Hi
Jamay Rahay……
Jazbon Ki Teiz Dhoop Mein , Pighla Na
Wo, Na Main…!!

Karo wada mujhse

Karo wada mery marny py ao gy
or mujhy apny hathon sy dafnao gy. .
aao gy meri mayat py apno ki tarha . .
samny dunia k ansu b bahao gy. .
btao gy na ksi ko humari alehdgi ka sbab..
wo e purana pyar dunya ko dikhao gy. . .
umar bhar mery nam sy na ghabrao gy..
chor kr zamane bhr ki kushiyan mery lye. .
apny dil sy mera gham mitao gy . .
roz aya kro gy meri qabr par .
r dua k lye hath b uthao gy,

KRO WADA MUJH SY. . . .!!!

Meri aankhen kharido gey

Suno…
Meri Aankhen kharido gey.?

Bohat majbor halat main mujhy neelaam karni hain,

Koi mujh se naqad ley jao,

Main thoray Daam ley lon ga,
Jo dey dey pehli Boli to,

Usi k naam kar doon ga,

Mujhy Bazar walay keh rahay hain kam aqal Taajir,

Suno Logo!

Nahi main Hirs ka mara,

Nafa nuqsan ki Shatranj nahi main khelnay aya,

Bari mehboob hain mujh ko ye meri neem tar Aankhen,

Magar ab bechta hoon main,

K main ny Khwab dekha tha,

Usay apna bananay ka,

Usay Dil main basanay ka,

Mujhy us Khwab ka Tawaan bharna hai,

inhain Neelaam karna hai…..!

Log dil bhi tod detey hai

Logg apnna banaake choor detey hai.
Rishta gairo se jod letey hai.
Hum to ek phool bhi na tod sake.
Log to dil bhi taud detey hai!!

Parchayi meri bhi

Parchhayi Meri Bhi Maine Tere Naam Kar Rakhi Hai
Har Saans Meri Tere Naam Kar Rakhi Hai
Tere Inkaar Ne Itna Paagal Bana Diya Hai
Duniya Ne Meri Zindagi Badnaam Kar Rakhi Hai

Miri nazar ke saleeke

Miri nazar ke saleeke me kya nahi aata Bas ek tiri hi taraf dekhna nahi aata

Akele chalna to mera naseeb tha ki mujhe Kisi ke sath safar batna nahi aata

Udhar to jate hai raste tamaam hone ko Idhar se hoke koi raasta nahi aata

Jagaana aata hai usko kai tareekon se Gharon pe dastaken dene khuda nahi aata

Yahan pe tum hi nahi aas paas aur bhi hai
Par us tarah se tumhe sochna nahi aata

Pade raho yoon hi sahme hue diyon ki tarah
Agar hawaon ke par baandha nahi aata

-waseem barelvi

Kitna pyaar diya usse par mila kuch bhi nahi

Kitna Pyaar Diya Usse Par Mila Kuch Bhi Nahi,
Itni Gehri Chahat Ka Hasil-O-Hasool Kuch Bhi Nahi,

Woh Humse Khafa The To Jaan Nikal Gayi Thi Hamari,
Hum Unse Khafa Hai To Unko Malaal Kuch Bhi Nahi,

Is Kadar Dukh Diye Hai Na Jaane Kis Khata Par,
Par Hum Bhi Sabar Kar Gaye Aur Kiya Sawal Kuch
Bhi Nahi,

Uski Khushi Mein Hansne Wale Khaas Hai Uske Liye,
Dukh Mein Uske Saath Hum, Hamari Misaal Kuch Bhi
Nahi..!!! 

Ye duniya mohabbat ki dushman ho gai hai

Ye duniya mohabbat ki dushman ho gai hai

Mohabbat ab dosto kitabo me rahgai hai

Wo din beet gaye jab log pyar me jan diya karte the

Ab to husn ki pyasi duniya rah gaihai

Koi nahi sunta kisi ke dil ki sada

Sabko dilon se khelne ki aadat si ho gai hai~*~

Wo muhabbat bhi teri thi

Wo Muhabbat Bhi Teri Thi
Wo Shararat Bhi Teri Thi,
Agar Kuch Bewafai Thi
To Wo Bewafai Bhi Teri Thi,
Hum Chhod Gaye Tera Shehar
To Wo Hidayat Bhi Teri Thi,
Akhir Karte To Kis Say Karte
Tumari Shikayat,
Wo Shehar Bhi Tera Tha Aur
Wo Adalat Bhi Teri Thi ...

Andar se tukra hu

♥ Andar koi jhanke to tukron mai milunga...

♥ Ye hansta huya chehra to zamane k liye hai..

Bura na man agar mai

Bura Na Man Agar Mai Tujhko Pyar Karta Hun,
Gunah Kon Sa Aisa Mai Yar Karta Hun.

Meri Khataon Me Meri Samjh Ka Nahee Koi Dakhal,
Mai Jo Bhi Karta Hun Be Ikhtiyaar Karta Hun.

Guzar toh jayegi zindagi uss ke baghair bhi lekin

Guzar Toh Jayegi Zindagi Uss Ke Baghair Bhi Lekin..!

Tarasta Rahega Dil Pyaar Karne Waalon Ko Dekh Kar..!!

Teri bey rukhi

Teri Bey 'Rukhi Pay Koi Aitraaz Nahi Humein,

Kis Haal Me Hain Hum Itna To Pooch Liya Karo...

Sehmi sehmi si kyon ho tum

Sehmi Sehmi Si Kyon Ho Tum,♥
Soyi Ho Phir Bhi Jagi Jagi Kyon Ho Tum,♥
Jab Hum Tere Karib Hai Toh Dari Dari Si Kyon Ho Tum,♥
O Sanam Mere Sanam
Teri Raah Hum Hai Phir Bhi Akeli Kyon Ho Tum ,♥♥

Duniya me jeene ki chahat

Duniya me jeene ki chahat na hoti
Agar khudane mohabbat banayi na hoti,
Log marne ki aarzoo na karte
Agar mohabbat me bewafai na hoti.
Yadon me hamari wo bhi khoye honge
Khuli aankhonse kabhi wo bhi soye honge,
Mana hasna hai ada gam chhupane ki
Par haste haste kabhi wo bhi roye honge…

Teri bewafai ko

Teri Bewafai ko Bhula na sakenge..

♥ Chahe b to kbhi muskura na sakenge..

♥ Tujhko to mil gaya Yaar apna..

♥ Apna kisi ko hum bana Na sakenge..

Sacha pyar

Sacha pyaar hamesha galat insaan se hota
hai
.
Aur jab ache insaan se hota hai tb galat
waqt pyar hota hai !♥!

Talaash e zindagi

Hum fir se niklenge talaash-e-zindgi me,,,

bus

duwa karna k is baar kisi se muhabbat na ho..

Chand par kali ghata chati to hogi

Chand par kali ghata chati to hogi,
Sitaro ko muskurahat aati to hogi,
Tum lakh chipawo duniya se magar,
Akele mein tumhe hamari yaad aati toh hogi…

Kash ki koi majboori na hoti

KAASH KI KOI MAJBOORI NA HOTI,
HUM AUR AAP MEIN ITNI DOORI NA HOTI.
AAP SE MILNE KI TAMANNA TO HUMARI BHI
HAI,
LEKIN HAR TAMANNA TO PURI NAHIN HOTI..

Kuch log jo aankhon mein rahe dil mein rahenge ab

Kuch Log Jo Aankhon Mein Rhe Dil Mein Rhenge Ab,
Bas Jagaah Bdal Rhee Hai Koi Duri Nhi Hai,
Hum Aap Sey Mil Naa Sake Jab Dil Chahey Milna,
Faaslon K Bad Bhi Aisi Mazburi Nhi Hai

Faasle mitake dilon me pyaar rakhna

Faasle mitake dilon me pyaar rakhna,
Dosti ka rashta yunhi bekarar rakhna,
Maana ki bahut pyaare pyaare dost hain aapke,
Par un sab ke baad is nacheez ko bhi yaad rakhna…

Dooriyon se farak nahi padta

Dooriyon se farak nahi padta,
Baat to ddilon ke nazdikiyon se hoti hai,
Dosti aap jaise kuch khaas logon se hoti hai,
Warna mulaqat to na jaane roz kitne logon se hoti hai…

Kamyabi badi nahi paane wale bade hote hai

Kamyabi Badi Nahi Paane Wale Bade Hote Hai.
Zakhm Bade Nahi Bharne Wale Bade Hote Hai.
Itihas K Har Panne P Likha Hai.
Dosti Badi Nahi Nibhane Wale Bade Hote Hai…

Ansu bahe to ehesas hota hai

Ansu Bahe To Ehesas Hota Hai,
Dosti k Bina jiwan kitna Udas Hota Hai,
Umar Ho Apki Chand jitni lambi,
Aap jaisa Dost kaha Har kisi k Paas Hota Hai…

Mehfil main kuch to sunana padta hai

Mehfil main kuch to sunana padta hai,
Gham chupakar muskurana padta hai,
kabhi unke hum bhi the dost,
Aaj kal unhe yaad dilana padta hai…

Jasbaate ishq naakam na hone denge

Jasbaate Ishq Naakaam Naa Hone Denge,
Dil Ki Duniya Mein Kabhi Shaam Naa Hone Denge,
Dosti Ka Har Ilzaam Apne Sar Par Le Lenge,
Par Dost Hum Tumhe Badnaam Na Hone Denge…

Khuda ki banai qudrat nahi dekhi

Khuda Ki Banai Qudrat Nahi Dekhi
Dilon Main Chupi Dolat Nahi Dekhi
Jo Kehta Hai Doori Se Mit Jati Hai Dosti
Us Ney Shayud Hamari Dosti Nahi Daikhi…

Sadgi main ek ada itni pyari lagi

Sadgi Main Ek Ada Itni Pyari Lagi
Apki Dosti Humko Subse Nirali Lagi
Yeh Na Tootay Kabhi Yahi Dua Hai
Kyn Ke Yahi Is Duniya Mai Hum Ko Hamari Lagi..

Khushiyon per fizaon ka pehra hai

Khushiyon Per Fizaon Ka Pehra Hai
Na Jane Kis Umeed Pe Dil Thehra Hai
Aapki Aankhon Se Jhalakte Dard Ki Qasam
Ye Dosti Ka Rishta Pyar Se Bhi Gehra Hai..

Dost aisi tadap hai jo

Dost aisi tadap hai jo dil se nahi nikala jata,
Dil mein chupi aag ko bujahaya nahi jata,
Kitni bhi duri ho dosti mein,
Aap jaise dost ko bhulaya nahi jata…

Dil tootna sazaa hai

Dil tootna sazaa hai mohabbat ki,
dil jodna ada hai dosti ki.
Maange jo kurbani woh hai mohabbat,
jo bin maange ho jaye kurban wo hai dosti hamari…

Na jane kab wo haseen raat hogi

Na Jane Kab Wo Haseen Raat Hogi,
Jab Unki Nigahe Humari Nigaho Ke Saath Hogi,
Baithe Hai Hum Uss Raat Ke Intezaar Me,
Jab Unke Hontho Ki Surkhiya Humare Hontho Ke Saath Hogi.

Aap jo so gaye to khwab hamara aayega

Aap jo so gaye to khwab hamara aayega
Ek pyari si muskaan aapke chehre per layega
Khidki darwaje dil ke khol ker sona
Warna aap hi batao hamara khwab kha se aayega…

Aaj kitne dino baad hui

Aaj kitne dino baad hui yeh barsaat hai
Yaad dilati yeh aapki har baat hai
Mujhe maloom hai aapki aankhon mein hai neend
Aap chain se so jao kitni haseen raat hai…

Yaadon ki keemat wo kya jaane

Yaadon Ki Keemat Wo Kya Jaane,
Jo Khud Yaadon Me Mita Diya Karte Hain,
Yaadon Ka Matlab to Unse Pucho,
Jo Yaadon Ke Sahare Jiye Karte Hain…

Ishq aisa karo ki dhadkan me bas

Ishq Aisa Karo Ki Dhadkan Me Bas Jaaye,
Saans Bhi Lo To Khushbu Usi Ki Aaye,
Pyaar Ka Nasha Aankhon Pe Chaa Jaaye,
Baat Kuch Bhi Na Ho Par Naam Usi Ka Aaye…

Pyaar me milna jaruri nahi

Pyaar Me Milna Jaruri Nahi,
Pyaar Mein Izhaar Bhi Zaruri Nahi,
Zaruri Sirf Ehsaas Hai Jo Zindagi SaNwarde,
Unhe PaAna Ya Na Pana Zaruri Nhi…

Palko ko humne jab bhi jhukaya hai

Palko ko humne jab bhi jhukaya hai,
Bas ek hi khayal aaya hai,
Jis khuda ne tumhe banaya hai,
Tumhe dharti pe bhejke bhala wo kaise jee paaya hai…

Pal pal uska saath nibhate hum

Pal pal uska saath nibhate hum,
Ek ishare par duniya chor jaate hum,
Samnder ke beech mein pahunch kar fareb kiya usne,
Wo kehta to kinare par hi doob jaate hum…

Taras gaye apke deedar ko

Taras gaye apke deedar ko,
phir bhi dil aap hi ko yaad karta hai,
humse khusnaseeb to apke ghar ka aaina hai,
jo har roz apke husn ka deedar karta hai…

Sirf isharoon mein

Sirf Isharoon Mein Hoti Mohabbat Agar,
In Alfazoon Ko Khoobsurati Kaun Deta?
Bas Pathar Bann Ke Reh Jaata “Taj Mahal”,
Agar Ishq Isse Apni Pehchan Na Deta…

Meri barbadi par tum koi

Meri Barbadi Par Tum Koi Malaal Na Karna
Bhool Jana Mera Khyal Naa Karna,

Hum Teri Khusi Ke Liye Kafan Ordh Lengey
Par Tum Meri Laash Se Koi Sawal Naa Karna...!!!

Aaj woh apne ho kar bhi

Aaj Woh Apny Ho Kar Bhi Begany Lagey
Jesy Hawaa Ke Thandy Jhonky Humain Jalany Lagy,

Meri Ek Aah Pey Girty They Jin Key Hazaron Aansu
Aaj Woh Mere Zakhmon Pey Muskaraney Lage...!!!

Pyar kar ke tujhe dil se

Piyar Kar Ke Tujhe Dil Se Mitana Mushkil Hai
Yeh Tufan Ab Palkon Par Rok Pana Mushkil Hai,

Aasan Lag Raha Hai Tujhe Yaad Kar Ke Mar Jana
Q Ke Tujhe Bhool Kar To Jina Pana Muskil Hai...!!!

Kisi ki chahat me barbad ho gaye

Kisi Ki Chahat Me Barbad Ho Gaye
Apni Hi Khushiyon Ke Khilaf Ho Gaye,

Chale The Hum Sab Ko Khushiyan Dene
Aaj Khud Apni Khushi Ke Liye Mohtaj Ho Gaye...!!!

Sadyon se ik sapna hai

Sadyon Se Ik Sapna Hai,
Kaho Pura Karo Gey Tum?

Bhol Jao Mere Siwa Sab Kuch,
Kaho Aisa Karo Gey Tum?

Nhi Kuch Or Tamana Ab,
Ke Bus Mery Ho Jao Tum,

Kabi Na Chor Ke Jao Gey,
Kaho Aisa Karo Gey Tum?

Faqt Ik lafz Sunne Ko,
Kai Barson se Tarsy Hain,

MUJHE APNA BANA LO TUM,
Kaho Aisa Karo Gey Tum...??

Tujhe hans k usne bhula dia

Tujhe Hans k usne Bhula dia,
Tu bhi Muskura kar Use Bhul ja.....

Has kar dekha ro kar b

Has kar dekha Ro kar b dekh liya Pyaar kar k B dekha Kho kar B dekh liya zindagi wahi ji sakta hai Jisne akela jina sikh liya

Pyar jab milta nahi toh

Pyar jab milta nahi toh hota hi kyun hain…………
Agar khwab such nahi hote to insaan sota kyu h
Jb yahi pyar aankho ke samne kisi or ka ho jaye
Toh phir yeh pagal dil itnaa rotaa kyun hain……

Uske liye saari duniya

Uske liye saari duniya se bagawat ki thi
Yaad aata hai maine bhi mohabbat ki thi
Usko chhod ke haste huye ghar aakar,
Itna roye the ki aankho ne b shikayat ki thi

Gam na karna

Gam na karna kabhi zindgi me,Kyuki taqdeer badalti rehti hai,Sheesha wohi rehta hai ,Bus tasveer badalti rehti hai