NUSRAT FATEH ALI KHAN ROMANTIC

Hum apni shaam ko jab nazar-e-jaam karte haiN,
Adab se hum ko sitare salaam karte haiN,
SajayeiN kyuN na ise ye saraye hai dil ki,
YahaaN haseeN musafir qayaam karte haiN,

Dil ko kaise bata tasalli dooN,
Chain is ko agar nahi ata,
Chashm-E-purnam Ko kaise samjhaooN,
Is ko agar tu nazar nahi ata,

Raat yuuN dil meiN teri khoyi huyi yaad aayi,
Jaise virane meiN chupke se bahaar aa jaye,
Jaise sehraaoN meiN haule se chale baad-e-nasim,
Jaise beemar ko be-wajah-e-qaraar aa jaye,

Kitne badal gaye haiN wo halaat ki tarah,
Jab bhi mile haiN pehli mulaqat ki tarah,
Teri jafa kahooN ke inayat kahooN ise,
Gham bhi mila mujhe kisi saughaat ki tarah,

Dil meiN ghamoN ki aag bhadakne lagi to hum,
Roye haiN phoot-phoot ke basraat ki tarah,
Hum kya kisi ke husn ka sadqa utaarte,
Ik zindagi mili wo khairat ki tarah,

Bujhi Huyi Shamma Ka DhuwaaN HooN,
Aur Apne Markaz Ko Ja Raha HooN,
Ke Dil Ki Hasrat To Mit Chuki Hai,
Ub Apni Hasti Mita Raha HooN,

Teri Hi Soorat Ke Dekhne Ko,
ButoN Ki TasveereiN La Raha HooN,
Ke KhubiyaaN Sub Ki Jamaa Kar Ke,
Tera Tasavvur Jama Raha HooN,

Kafan MeiN Khud Ko Chhupa Liya Hai,
Ke Tujh Ko Parde Ki Ho Na Zehmat,
Naqaab Apne Liye Bana Kar,
Hijaab Tera Utha Raha HooN,

Udhar wo ghar se nikal pade haiN,
Idhar mera dam nikal raha hai,
Ilahi kaisi hai ye qayaamat,

Muhabbat Insaan Ki Hai Fitrat,
Kahaan Hai Imkaan-E-Tark-E-Ulfat,
Woh Aur Bhi Yaad Aa Rahay HaiN,

Roz kehta hooN bhool jaauN unheiN,
Roz ye baat bhool jata hooN maiN,

Nahi aati to unki yaad barsoN tak nahi aayi,
Magar jab yaad ate haiN to aksar yaad ate haiN,

ZubaaN Pe labbaik har nafas meiN,
JabeeN pe sajda hai har qadam Pe,
YuuN ja raha but-kade Ko natik,
Ke jaise kaabe ko ja raha hooN.

No comments:

Post a Comment