Kabhi ban sawar ke jo aa gaye

Urdu Shayari by Bahadur Shah Zafar

Kabhi ban sanwar ke jo aa gaye, to bahar-e-husn dikha gaye
Mere dil ko daagh laga gaye, ye naya shagufa khila gaye

Koi kya kisi ka lubhaye dil, koi kya kisi se lagaye dil
Wo jo bechte the dawaa-e-dil wo dukaan apni badhaa gaye

Mere paas aate the dam-b-dam, jo juda n hote the ek dam
Ye dikhaye chrkh* ne kya sitam, ke mujhi se aankh chura gaye

Chrkh = Aasman/waqt ka pahiya/naseeb

Yahi shauq tha hameN dam-b-dam, ke bahaar dekhenge ab ke ham
JyuN hi chhoote qaid-e-qafas se ham, to suna khiza ke din aa gaye

No comments:

Post a Comment