मैं तो झोंका हूँ. कुमार विस्वास main toh jhonka hu by kumar vishwas



मैं तो झोंका हूँ हवाओं का उड़ा ले जाऊँगा 
जागती रहना तुझे तुझसे चुरा ले जाऊँगा

Main toh jhonka hu hawaon ka uda le jaunga 
Jagati rehna tujhko tujhse chura le jaunga

हो के कदमों पर निछावर फूल ने बुत से कहा 
खाक में  मिल कर भी मैं खुशबू बचा ले जाऊँगा
Ho ke kadmo par nichawar phool ne boot se kaha 
Khak me mil kar bhi mai khusboo bacha le jaunga 

कौन सी शै मुझको पहुंचाएगी तेरे शहर तक 
ये पता तो तब चलेगा जब पता ले जाऊँगा

Kaun si soo mujhko pahunchayegi tere sehat tak 
Ye pata toh tab chalega jab pata le jaunga

कोशिशें मुझको मिटाने की भले हों कामयाब
 मिटते-मिटते भी मैं मिटने का मज़ा ले जाऊँगा

Koshishen mujhko mitane ki bhale ho kamyab 
Mit te mit te bhi mai mitane ka maza le jaunga 


शोहरतें जिनकी वजह से दोस्त दुश्मन हो गये 
सब यहीं रह जाएँगी मैं साथ क्या ले जाऊँगा।

Sohrat jinki wajah se dost dushman ho gaye
Sab yahi rah jayega mai sath kya le jaunga



-kumar vishwas (कुमार विस्वास )

TUM POOCHHATE NAHI HO AB BY ZAKIR KHAN




Tum poochte nahi ab
Tum poochte toh nahi ho ab,
Phir bhi bata deta hoon din ki sabhi baatein tumko. kisne kya kaha, Kiss Se mila
Kaun aachanak takraa gaya
aur woh jo sadak par aise hi bus ke intazaar me dekh liya maine.
Yeh sab samet kar,
apni jeb me bharta rehta hoon.
Jaise kuch hisab dena hai, har din har lamhe ka tumko.
Par tum poochte nahi ab,
Mai akela bhi 2 logon ki tarah rehta hoon, Mujhe khaali ghar me aana pasand nahi, na ghar khaali chhod kar jaana.
Phir bhi...
Sabse aise rukhsat hota hoon, Jaise naraz ho jaogi tum
Jo mai waqt se wapas nahi lauta.
Raaste me der hone ke, bahane bhi sochta hoon.
Tumse daant bhi kha liya karta hoon.
Hum mein jab Mai akela hota hoon,
Tab bhi tum hi aachi aur sahi hoti ho. Aur bhi hai kuch kuch aisa hi batane layak.
Par
Tum poochte hi nahi ho ab.
By zakir khan (apne log)

Har baat likha nahi ja sakta by zakir khan






Har baat likhi nahi ja sakti. 
Jaise.... Tumhara, mujhe iss qadar pyar se dekhna. Likha nahi ja sakta.
Sath chalte hue, humare hathon Ka takrana Aur phir bina ek dusre ki taraf dekhe, iss baat par muskura dena.
Likha nahi ja sakta
Tumhari ungliyon ka, mere chehre ko chune ka ehsaas. 
Tumhari saason ka mere hothon par theher jaana....

Likha thodi ja sakta hai. 
Jaise tumhare chale jaane Ke baad bhi, mere jism me tumhari khusboo ka reh jaana.
 Sirf mehsus kiya ja sakta hai.
Likha thodi ja sakta.

Har baat likhi nahi ja sakti.