Tukdon mein bikhra hua kisi ka jigar dikhayenge
Kabhi aana humari basti tumhe apna ghar dikhayenge
Honth kaanp jaate hain thar-tharaati hai zubaan
Toote dil se nikli huii duaon ka asar dikhayenge
Ek pahunch paata nahin aur ek chhalak jaata hai
Palkon se daaman tak ka ashqon ka safar dikhayenge
Kabhi aana hamari basti tumhe apna ghar dikhayenge
Kahin tasveer hai teri kahin likhaa hai tera naam
Mandir-masjid jitna paak ek deewar-o-dar dikhayenge
Aksar takti rehti hai sunsaan raahon ko sanam
Darwaaze par baithi huii boodhi ho chuki nazar dikhayenge
Kabhi aana hamari basti tumhe apna ghar dikhayenge
Munawwar Rana
No comments:
Post a Comment