Ji karta h use dekhta rahu
ji karta h use chahta rahu
ji karta h use pujta rahu
ji karta h use hamesha sach bolu
ji karta h use tum bolu
ji karta h use khush dekhu
ji karta h use harpal dekhu
ji karta h use sunta rahu
ji karta h wo paas rahe
ji karta h wo ehsaas rahe
ji karta h wo muje chahe
ji karta h wo muje mange
ji karta h wo meri ho aur mai uska rahu,
kyu uski har muskan par marne ko ji karta h,
kyu us tak jane wali har rah par chalne ko ji karta h,
kyu use khudse b jyada pyar karne ko ji karta h,
sochta tha hamesha khudke bare mein main,
na jane kyu ab sirf uske bare mein sochne ko ji karta h,
uske har dukh ko apna banane ko ji karta h,
apni har khushi se usko sajane ko ji karta h,
na jane kyu uski tasviro se bhi baat karne ko ji karta h,
na jane kyu uske sath beete har lamhe ko fir jine ko ji karta h…
kya ye pyar h?
Agar h to muje us se apne ap se bhi jyada pyar h
uspe apne ap se bhi jyada aitbaar h
aur bas sirf usi ka intezaar h…
Ji karta hai
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment