Khayal aaya hoga

Aj dulhan k lal jode m use uski sakhiyo ne sajaya hoga.
Meri jaan k gore hatho ko mehndi se sajaya hoga.
Bahut gehra chadha hoga mehndi ka rang
us mehndi m usne mera naam chupaya hoga.
rh-rh k ro padi hogi jb-jb usko khyal mera aya hoga.
khudko dekha hoga jb aaine me to aks mera b nazr aya hoga
lag rhi hogi bahut hi sunder wo aj dekhkr usko chand b shrmaya hoga
aaj meri jaan ne apne maa baap ki ijjat ko bachaya hoga
usne beti hone ka hr farz nibhaya hoga
mazbur hogi wo sbse jayada
sochta hu kis trh usne khud ko samjhaya hoga
apne hatho se hamare khaton ko jalaya hoga.
khud ko mazbut bna kr meri yado ko mitaya hoga
bhukhi hogi wo janta hu main mere bina usne kuch na khaya hoga.
kese sambhala hoga khud ko jb usne fairon me khud ko jalaya hoga.
pr sochta hun kya in sub k bich use mere dil ka ek bar bi khayal aaya hoga...?

No comments:

Post a Comment