Maa

Rimjhim barsaat k baad wo geeli shaam me
galiyaro ko roshan karte deeyo ke ujale me
yaad aata hai us patli si pagdandi par
saanjh dhale wo ghar laut ke aana maa

choolhe par sikti wo taazi roti ki mehak
yaa teri choodiyon ki khanakne ki thi aawaze
jaane kis baat me wo jaadu tha maa
ki door gaaon me khelti bhi, shaam ko
ghar laut aaya karti thi me maa

yun pukaara karti thi tu din bhar
par sun kar ansuna karti thi me maa
aaj teri ik aawaz ko yun tarasti hun maa
aa pahuchi hu door itni tujhse
ki maa k khane ki khushboo ko tarasti hu maa

dhalte din yaha bhi hai, baadal bhi baraste hai
par jaane kyu ye tapish khatam nahi hoti
maati ki wo saundhi mehak yaha nai aati

shor to bohat hoti hai maa, bas ik teri aawaz nahi aati!!

No comments:

Post a Comment