Bahharon ke shama ek chehra nazar aaya,
Kho gaya mera dil kho gaya mera saaya.
Wo husn ki pari saanson mein yun bhari,
Phoolon ki khusboo bhi kam na kar paaya,
Khilta hua kamal sangmarmar ki kaaya,
Jisse dekh kar gulaab bhi sharmaaya.
Na chahte huye bhi kadam dagmaya,
Khich gaya uski taraf jab wo muskuraya.
Nazrein mili, pyaar ka ijhaar ho gaya,
Jo kabhi na kiya wo is baar ho gaya.
Soch mein pad gaye sun ke wo meri baat,
Boli, bina jaane kaise maanu tumhari baat,
Kya kahu us waqt kya haal tha mera,
Lab unke hothon se nikla naam tha mera.
Hum kuch keh na sake sunte hi rahe,
Unki aankhon ki gehraiyon mein dubte rahe,
Wo maane na meri baat chod k saath,
Keh gaye thaam lo kisi aur ka haath.
Pehli nazar mein jo pyaar ho gaya tha,
Natiza mere doston ye usi ka hua tha,
Kasam khai hai ek din bana kar rahunga,
Dil mein uske khud ko basa ke rahunga.
Meri din aur raat sang uske guzare,
Khawabon mein apne mera khwaab dekhe,
Bana lu main usko saath mein wo ho,
Dua karna jo tum mere saath mein ho.
No comments:
Post a Comment