A gazal by qateel shifai

Apne honton par sajana chahta hun
Aa tujhe mein gunguna na chahta hun

Koi aansoo tere daman pe gira ke
Boond ko moti bana na chahta hun

Thak gaya mein karte karte yaad tujh ko
Ab tujhe mein yaad aana chahta hun

Aakhari hichki tere zaanoN pe ho
Maut bhi mein shaairana chahta hun

Rehgai thi kuchh kami ruswaaiyon mein
Phir “Qateel” us dar pe jaana chahta hun

No comments:

Post a Comment