Rafta rafta apne ghar se saare nate toote

Muneer Niazi ki Shayari

Raat falak par rang-birangi aag ke gole chhoote
Phir baarish wo zor se barsi mahek uthe gul-boote

Us ki aankh ke jaadu ki har aik kahaani sachchi
Mere dil ke KhooN hone ke sab afsaane jhuute

Pahle-pahal to jee n lagaa, pardes ke in logoN men
Raftaa-raftaa apne ghar se saare naate toote

Ye to sach hai sab ne mil kar dil-joi bhi ki thi
Apni ruswai ke maze bhi, sab yaaron ne loote

No comments:

Post a Comment