Kitne aish se rahte honge, kitne itraate honge
Jaane kaise log woh honge jo usko bhaate honge .!
Shaam hue khush-bash yahan ke mere paas aa jaate hain
Mere bujhne ka nazaara karne aa jaate honge .!
Woh jo na aane wala hai na us se mujh ko matlab tha
Aane walon se kya matlab, aate hain aate honge .!
Uski yaad ki baad-e saba mein aur toh kya hota hoga
Yunhi mere baal hain bikhre aur bikhar jaate honge .!
Yaaro kuchh toh zikr karo tum uski qayamat baanhon ka
Woh jo simaTte honge un mein woh toh mar jaate honge .!
Mera saans ukhadte hi sab bain karenge royenge
Yaani mere baad bhi yaani saans liye jaate honge .!!
– Jaun Eliya
No comments:
Post a Comment