Mai batata hoon sabse upper kya hai -zakir khan

Mai batata hoon sabse upper kya hai.
Sabse upper ek Maidaan hai, tumhari nazar se kahin aage aur tumhari soch se kai guna jayada bada.
Uss Maidaan ke beeche me ek Aalishaan Mahal hai, jiski deeware sabse chamakdaar chandi ki bani hai aur saare darwaze sone ke.
Mahal ke andar ghuste hi kuch Bala ki khoobsurat Pariya tumhare aage peeche naachne lagti hai. Yeh itni nazuk hai ki inka sabse bada kaam, takht par baithey badshah ko dheeme-dheeme pankha karna hai.
Bataya jaata hai ki theek mahal ke pass se ek thandi nadi behti hai, jiske sath ek jadooyi bagicha hai jahan khane ko tarah tarah ke pakwaan aur sath dene ko kuch panchi bhi aate hai. Yeh darte nahi hai, seedhe pass aa jaate hai.
Darssal yeh sab suni-sunayi baatein hai jinka haqeekat se koi naata nahi.
Mai batata hoon sabse upper kya hai.
Sabse upper maidaan bada toh hai par wahan sath khelne ko koi apna hai hi nahi. Jiski shiqayat karna bhi mana hai Kyunki sabse upper aane ki yahi toh pehli shart thi ki "Jab aaoge tab tanha hi aaoge". jisse uss waqt tumne lazmi maana aur haste haste dastakhat kar apni manzoori di thi.
Mai batata hoon sabse upper kya hai.
Sabse upper pahuchne se pehle safar me jo dost mile, bane ya jo tumhare sath nikle they sabse upper tak ka raasta tay karne ko. Woh sab kahin neeche chhut gaye hai. tum shayad aaj bhi unse utne hi lagav se milna chahte ho. Isiliye tum meelon ka maidaan par kar ke apni jaan jokhim me daal kar uss aakhri hisse tak jaa kar, har roz unke haal chal pooch lete ho. Woh bhi shuru me garm joshi se tumhe jawab dete hai. Par dheere dheere tumhare liye unki pasandgi ghatne lagti hai.
Shayad iski ek wajah yeh ki tum sabse upper ho aur woh thoda neeche ya kuch log thoda jayada neeche hain. tumse baat karne me unki gardaan dard karti hai. upper bane sone-chandi ke uss mahal ki chamak se unki aankhe laal hoti hai. Unn tak apni baat pahuchane ko jo tum poori takat se awaaz lagate ho, tumko andaaza bhi nahi hota ki unko woh cheekhna lagna hai. iss mazboot rishte ka har toota resha tumhe deekhta hai.
Neeche se shayad upper ka sab thoda dhundhla lagta ho par upper se sab saaf nazaar aata hai. Aap aapni aakho se apne dil-ajiz logon ko raqeebon me tabdeel hote bahut saaf dekh paate ho. Yeh bahut chubhta hai dil ko aur iske ghav bhi reh jaate hai.
Mai batata hoon sabse upper kya hai.
Sabse upper jo Mahal hai uski Chamakdaar chandi ki deewarein na toh baat kar sakti hai aur na woh sone ke darwazey koi kissa sunate hai. Sabse upper Naye Dost nahi bante. Qamiyabi ki inn imarton ka tilism kuch aisa hai ki yeh hoti toh sab barabar ki hai. Phir bhi aas pass walo ko koi bahut chota ya koi bahut unchaiyon par nazaar aati hai.
Agar maan lo ki aap aage se dosti ki hath bhi badhao, toh kissi ko aap iss rishte ki liye bahut adna aur kissi ke liye itne bade ki usse aapki niyaat par ki shak hone lagta hai. Yeh iss had tak hota hai ki jayadatar log jinhe sabse upper hone ki Aish-o-Ishrat hasil hai woh ek dusre ki maujoodgi tak ko quboolne se inkaar kar dete hai. Sab apne Gurur ki moti razai liye chubhne wali garm dhoop me bethey ek dusre ko nazaar toh aate hai lekin koi bhi kissi dusre ko awaaz tak nahi lagata.
Mai batata hoon sabse upper kya hai.
Sabse upper milne wali pariya Sirf takht par bethey uss badshah ko hi janti hai. Unhe na toh tumahre yahan tak pahuchne ki kahani maloom hai aur na hi safar ki dushwariya unki samjh ke daire me aati hai. Unhe Pankhe se hawa dena toh aata par iss mushkil raste ko tay karte waqt lage zakhmon par malham lagana ya yaadon ke ghav me padi mavaad saaf karna ka kaam, kam se kam unke bas ka toh nahi. Aiyashi ke neeche sukoon kahin dab kar maar jaata hai.
Lekin yahan tak pahuchne ki dusri shart bhi toh yahi thi. Sabse upper, Pahuchte hi aapke aish-oaram ki chabi dene se pehle jazbaati itminaan jama karva liya jaata hai. jiss uss waqt aapne haste haste hawale kiya tha, toh ab shiqayat kiss se karoge.
Mai batata hoon sabse upper kya hai.
Sabse upper kuch kuch jhoot hai, sabse upper Mahal ke theek pass woh jo thandi nadi bataiyi gayi thi, darassal woh tezaab ka ek jharna hai jime se tumhare liye neeche ke se aa rahi apno ki nafrat ucal-ucal ke nikalti hai.
wahan itni upper tak parindon me se sirf gidd aa paate hai. Jinki bhook unn pakwano se nahi mitti isliye woh nazdeek aa kar nauchte hai tumhare jism ko. tumko bhi maloom hai yeh, par yahi toh thi sabse upper aane ki teesri shart ki yahan pahuch kar tum auron ke kaam aaoge, jo sabse uper aati badal kar "Istmaal kiye jaoge" me tabdeel kar di gayi thi.
Mai batata hoon sabse upper kya hai.
Mahal, bagiche me aur maidaan me jahan jahan aise andhe khade hai jinme pair padte hi tum seedhe zameen ke aakhri tal me le ja kar patak diye jaaoge. isliye har kadam dekh kar sambhal kar uthana padta hai. itna sambhal kar chalna padta hai ki ek waqt ke baad aap apne takht se neeche tak nahi utarte.
Uss bade se maidaan ke beech bane uss sone chandi ke chamkdaar mahal me, jahan ass pass kuch behad khoobsurat pariya naachti hai aur baki ki tumhe pankhe se hawa karti hai wahan Takht par baithey tum khud ko qaid kar lete ho.
Sabse upper ek jail hai jiski chabi toh tumhare pass hai par taala kahan hai yeh kissi ko maloom nahi.
Sabse upper aane ki seedhiya toh hai par wapas jaane ka raasta ek gehri khaayi hai jisme se tumse pehle ke kai Badshahon ki laash ki bu ab talak aati hai.
Sabse upper batane ko baatein toh hai par unhe sunne wale yaar nahi.
Sabse upper Bada Mahal toh hai par woh log nahi jinhone tumhara tuta hua ghar dekha tha.
Sabse upper mai hoon.
Sabse upper tum ho sakte ho.
Bas, sabse upper "Hum" nahi hota.
Mai batata hoon sabse upper kya hai.
Zakir Khan

1 comment: