Kab yaad mein tera saatg nahi


kab yaad mein tera saath nahi, kab haath mein tera haath nahi
sud shukar k apni raaton mein, ub hijr ki koi raat nahi
कब याद में तेरा साथ नही, कब हाथ में तेरा हाथ नही
सद शुक्र के अपनी रातों में, अब हिज्र की कोई रात नही

kab yaad mein tera saath nahi, kab haath mein tera haath nahi
कब याद में तेरा साथ नही, कब हाथ में तेरा हाथ नही

mushkil hein agar halaat wahaan, dil baich aan'ain jaan de'aain
dil walo kocha-e-jaannaan, kia aisay bhi halat nahi
kab yaad mein tera saath nahi, kab haath mein tera haath nahi
मुश्किल है अगर हालात वहां, दिल बेच आयें जां दे आयें
दिल वालो कूचा-ऎ-जानां, क्या एसे भी हालात नही
कब याद में तेरा साथ नही, कब हाथ में तेरा हाथ नही

jiss dhajh say koi maqtal mein gaya wo shaan salamat rehti hai
yeah jaan to aani janii hai, is jaan ki to koi baat nahi
kab yaad mein tera saath nahi, kab haath mein tera haath nahi
जिस धज से कोई मकतल में गया वो शान सलामत रहती है
ये जान तो आनी जानी है, इस जां की तो कोई बात नही
कब याद में तेरा साथ नही, कब हाथ में तेरा हाथ नही

medaan-e-wafa darbaar nahi, yaan naam-o-nasab ki pooch kahan
aashiq to kisi ka naam nahi, kuch ishq kisi ki zaat nahi
kab yaad mein tera saath nahi, kab haath mein tera haath nahi

मैदान-ए-वफ़ा दरबार नही, यां नाम-ओ-नसब की पूछ कहां
आशिक़ तो किसी का नाम नही, कुछ इश्क़ किसी कि जात नही
कब याद में तेरा साथ नही, कब हाथ में तेरा हाथ नही

yeah baazi ishq ki baazi hai, jo chahay laga do dar kaisa
gar jeet gaye to kia kehna, haaray bhi to baazi maat nahi

kab yaad mein tera saath nahi, kab haath mein tera haath nahi

गर बाज़ी इश्क़ की बाज़ी है, जो चाहे लगा दो डर कैसा
गर जीत गये तो क्या कहना हारे भी तो बाज़ी मात नही
कब याद में तेरा साथ नही, कब हाथ में तेरा हाथ नही

mushkil hein agar halaat wahaan, dil baich aan'ain jaan de'aain
dil walo koocha-e-jannaan, kia aisay bhi halaat nahi
kab yaad mein tera saath nahi, kab haath mein tera haath nahi

मुश्किल है अगर हालात वहां, दिल बेच आयें जां दे आयें
दिल वालो कूचा-ऎ-जानां, क्या एसे भी हालात नही
कब याद में तेरा साथ नही, कब हाथ में तेरा हाथ नही

kab yaad mein tera saath nahi, kab haath mein tera haath nahi
sud shukar k apni raaton mein, ub hijr ki koi raat nahi
kab yaad mein tera saath nahi, kab haath mein tera haath nahi
कब याद में तेरा साथ नही, कब हाथ में तेरा हाथ नही
सद शुक्र के अपनी रातों में, अब हिज्र की कोई रात नही
कब याद में तेरा साथ नही, कब हाथ में तेरा हाथ नही

Hijr   हिज़्र = Separation
Dhaj  धज = appearance, shape, form
maqtal मकतल  = place of execution
maat मात = defeat

Kabhi ban sawar ke jo aa gaye

Urdu Shayari by Bahadur Shah Zafar

Kabhi ban sanwar ke jo aa gaye, to bahar-e-husn dikha gaye
Mere dil ko daagh laga gaye, ye naya shagufa khila gaye

Koi kya kisi ka lubhaye dil, koi kya kisi se lagaye dil
Wo jo bechte the dawaa-e-dil wo dukaan apni badhaa gaye

Mere paas aate the dam-b-dam, jo juda n hote the ek dam
Ye dikhaye chrkh* ne kya sitam, ke mujhi se aankh chura gaye

Chrkh = Aasman/waqt ka pahiya/naseeb

Yahi shauq tha hameN dam-b-dam, ke bahaar dekhenge ab ke ham
JyuN hi chhoote qaid-e-qafas se ham, to suna khiza ke din aa gaye

Aansuaon se jahan

Bashir Badr Urdu Poetry

AansuaoN se JahaN Paayemaali Rahi
Aisi Basti CharaghoN Se Khaali Rahi

DushmanoN Ki Tarah Usse Ladte Rahe
Apni Chahat Bhi Kitni Niraali Rahi

Jab Kabhi Bhi Tumharaa Khayaal Aa Gaya
Phir Kaii Roz Tak Be-Khayali Rahi

Lab Taraste Rahe Ek Hansii Ke Liye
Meri Kashti Musaafir Se Khaali Rahi

Chaand Taare Sabhi Hamsafar The Magar
Zindagi Raat Thi, Raat Kaali Rahi

Mere Seene Pe Khushbu Ne Sar Rakh Diya
Mere BahoN Mein PhooloN ki Daali Rahi

Magar tumhari tarah kaun mujhko chahega

Urdu Shayari/Ghazal by Bashir Badr

Agar talaash karun, koi mil hi jayega
Magar tumhari tarah kaun mujhko chahega

Tumhen zaroor koi chahaton se dekhega
Magar wo aankhen hamaari kahan se layega

Na jane kab tire dil par nayi si dastak ho
Makaan khali hua hai to koi ayega

Main apni raah mein deewar ban key baitha hun
Agar wo aaya to kis raaste se ayega

Tumhare saath ye mausam farishton jaisa hai
Tumhare baad ye mausam bahut sataayega

In Hindi

अगर तलाश करूँ कोई मिल ही जायेगा
मगर तुम्हारी तरह कौन मुझ को चाहेगा

तुम्हे ज़रूर कोई चाहतों से देखे गा
मगर वो आँख हमारी कहाँ से लाएगा

न जाने कब तेरे दिल पर नई सी दस्तक हो
मकान खाली हुवा है तो कोई आएगा

में अपनी राह में दीवार बन के बैठा हूँ
अगर वो आया तो किस रास्ते से आएगा

तुम्हारे साथ ये मौसम फरिश्तों जैसा है
तुम्हारे बाद ये मौसम बहोत सताएगा

Rafta rafta apne ghar se saare nate toote

Muneer Niazi ki Shayari

Raat falak par rang-birangi aag ke gole chhoote
Phir baarish wo zor se barsi mahek uthe gul-boote

Us ki aankh ke jaadu ki har aik kahaani sachchi
Mere dil ke KhooN hone ke sab afsaane jhuute

Pahle-pahal to jee n lagaa, pardes ke in logoN men
Raftaa-raftaa apne ghar se saare naate toote

Ye to sach hai sab ne mil kar dil-joi bhi ki thi
Apni ruswai ke maze bhi, sab yaaron ne loote

A gazal by qateel shifai

Apne honton par sajana chahta hun
Aa tujhe mein gunguna na chahta hun

Koi aansoo tere daman pe gira ke
Boond ko moti bana na chahta hun

Thak gaya mein karte karte yaad tujh ko
Ab tujhe mein yaad aana chahta hun

Aakhari hichki tere zaanoN pe ho
Maut bhi mein shaairana chahta hun

Rehgai thi kuchh kami ruswaaiyon mein
Phir “Qateel” us dar pe jaana chahta hun

Intezaar

jo guzar gaye hain, unn lamhon ke,
laut aane kaa intezaar...
teri zulfon mein kho jaane ka,
teri baahon mein khud ko paane ka, Intezaar...
jheel see gehree teri aankhon mein,
doob jaane ka, intezaar...
tere seene pe sir rakh ke,
so jaane ka intezaar...
raat bhar teri pyaari baaton ko,
sun ke jagne kaa intezaar...
tujhko apnaa banake,
sang jeene ka, intezaar...
Intezaar, intezaar aur Intezaar....

Tere zulfon se

teree zulfon se tapakta huaa wo shabnam ka katraa,
teree aankhon mein chamaktaa huaa wo roshnee ka noor,
tere chehre ki zia,teree muskuraahat,
teree baatien,teree khaamoshie, teree hayaa..
teree har ek baat jo sabse alag hai,
wohi mujhe teree aur kheechtee hai,
teraa roothna,meraa manaana,
teraa yun mujhpe gussa hona,
mujhe daantnaa, samjhaana,..
mujhe ye ehsaas dilaata hai ki
tujhse zyaada apna meraa aur koi nahi hai..

Tere bagaeir kaise beetegi

tere bagaeir kaise beetegi ye zindagee,
zinda magar rahenge hum hai kaisi ye bebasee,
kya jaane ab milenge bhi ya naa milenge hum,
teri magar ye aarzoo chootegee na kabhie..

Na reh jaye koi

na reh jaye koi aas tere baad fir,
na reh jaye koi pyaas tere baad fir,
hai meri yahi aarzoo, ae mere humnashi,
na reh zindagi bhi tere baad fir...

Wo samajh naa sake

mere andaaz wo samajh naa sake,
mere jazbaat wo samajh naa sake,
wo samajh naa sake meri majbooree,
mere haalaat wo samajh naa sake...

Bahot khubsoorat ho tum

Agar Main Jo Kehdoon Mohobbat Hai Tumse
Tho Mujhko Khudaara Galat Mat Samajhna
Ke Meri Zaroorat Ho Tum
Bahut Koobsoorat Ho Tum

Ye Chehra Tumhaara Ke Din Hai Sunehra
Aur Uspar Ye Kaali Ghataaon Ka Pehra
Gulaabon Sa Naazuk Mehekta Badan Hai
Ye Lab Hain Tumhaare Ke Khilta ChamanHai
Bikheron Na Zulfen, Tho Sharmaayen Baadal
Farishtey Bhi Dekhen Tho Hojaayen Paagal
Wo Pakeeza Moorath Ho Tum
Bahut Khoobsoorat Ho Tum

Hain Phoolon Ki Daali Ye Baahen Tumhaari
Hai Khaamosh Jaadu Nigaahen Tumhaari
Jo kaanten Hon Sab Apni Daaman Mein Bhar Loon
Bichaawoon Main Kaliyon Se Raahen Tumhaari

Nazar Se Zamaane Ki Khudko Bachaana
Kisi Aur Se Dekho Dil Na Lagaana
Ke Meri Amaanath Ho Tum
Bahut Khoobsurat Ho Tum

Jo Banke Kali Muskuraati Hai Aksar
Shab-e-Hijr Mein Wo Rulaati Hai Aksar
Jo Lamhon Hi Lamhon Mein Duniya Badalde
Jo Shaayar Ko Milti Hai Pehloo Ghazal Se

Chupaana Jo Paawoon Chupaa Hi Na Paawoon
Bhulaana Jo Paawoon Bhulaa Hi Na Paawoon
Wo Pehli Mohabbat Ho Tum
Bahut Khoobsurat Ho Tum

Agar Main Jo Kehdoon Mohobbat Hai Tumse
Tho Mujhko Kudaara Galat Mat Samajhna
Ke Meri Zaroorat Ho Tum
Bahut Koobsoorat Ho Tum

Ek rooh se alag alag

Ik rooh se alag alag
shayad hai maut
jism se ik jism ka rooth jaana
shayad hai maut
kya hai maut
kuch pal ki neend
kuch pal ka sukoon
ya phir mere khayaalo ki duniya
khud ke khwabo mein ik khwab banana
shayad hai maut

- masroor kalam

Manzoor hai sayad

Bichar Jana Mera Yon Bhi Ussy Manzoor Hai Shayd~
Kare To Kya Kare Wo Bhi Bohat Majboor Hai Shayd~

Main Us Ka Sheher Hi Chor Aaya Hon To Kya Hasil~
Meri Manzil Muhabbat Ki Abhi Kuch Door Hai Shayd~

Me Us K Pyar Me Har Shakhs Se Begana Rehta Hoon~
Sabhi Mehsoos Karte Hain Boht Maghrur Hun Shayd

Nishan tak na milain gay

Nishan Tak Na Milain Gay Meri Wafa Ke Usay,
Ke Maine Rah Badal Di Hai Aazma Ke Usay … !

Kabhi Na Harf Koi Uski Sadgi Ka Khula,
Warq Warq Parha Maine Dil Laga Ke Usay … !!

Jo Sab Ka Haal Hua Tha Wo Mera Haal Hua,
Bani Na Baat Koi Bat Bhi Suna Ke Usay … !!!

Mujhe Yaqeen Hai Wo Laut Kar Bhi Ayega,
Magr Udaas Hun Ab Raasta Dikha Ke Usay … !!!!

Dil dhadkane ka sabab yaad aaya

Dil Dhadkane Ka Sabab Yaad Aaya
Woh Teri Yaad Thi Ab Yaad Aaya

Aaj Mushkil Tha Sambhalna Aye Dost
Tu Musibat Mein Ajab Yaad Aaya

Haal-e-Dil Hum Bhi Sunate Lekin
Jab Woh Rukhsat Huey Tab Yaad Aaya

Phir Kayee log Nazar Se Guzre
Phir Koi Sharab-e-Tarab Yaad Aaya

Din Guzara Tha Badi Mushkil Se
Phir Tera Wada-e-Shab Yaad Aaya

Tera Bhula Hua Paimane-e-Wafa
Mar Rahenge Agar Ab Yaad Aaya

Baith Kar Saaya-e-Gul Mein
Nasir
Hum Bohat Roye Woh Jab Yaad

Wafa bechni hai

Suno koi khareedar hai nazar mai?
Muflisi k din hai, wafa bechni hai..!!

Pighla na wo na main

Koh-e-Anaa Ki Baraf Thi , Dono Hi
Jamay Rahay……
Jazbon Ki Teiz Dhoop Mein , Pighla Na
Wo, Na Main…!!

Karo wada mujhse

Karo wada mery marny py ao gy
or mujhy apny hathon sy dafnao gy. .
aao gy meri mayat py apno ki tarha . .
samny dunia k ansu b bahao gy. .
btao gy na ksi ko humari alehdgi ka sbab..
wo e purana pyar dunya ko dikhao gy. . .
umar bhar mery nam sy na ghabrao gy..
chor kr zamane bhr ki kushiyan mery lye. .
apny dil sy mera gham mitao gy . .
roz aya kro gy meri qabr par .
r dua k lye hath b uthao gy,

KRO WADA MUJH SY. . . .!!!

Meri aankhen kharido gey

Suno…
Meri Aankhen kharido gey.?

Bohat majbor halat main mujhy neelaam karni hain,

Koi mujh se naqad ley jao,

Main thoray Daam ley lon ga,
Jo dey dey pehli Boli to,

Usi k naam kar doon ga,

Mujhy Bazar walay keh rahay hain kam aqal Taajir,

Suno Logo!

Nahi main Hirs ka mara,

Nafa nuqsan ki Shatranj nahi main khelnay aya,

Bari mehboob hain mujh ko ye meri neem tar Aankhen,

Magar ab bechta hoon main,

K main ny Khwab dekha tha,

Usay apna bananay ka,

Usay Dil main basanay ka,

Mujhy us Khwab ka Tawaan bharna hai,

inhain Neelaam karna hai…..!

Log dil bhi tod detey hai

Logg apnna banaake choor detey hai.
Rishta gairo se jod letey hai.
Hum to ek phool bhi na tod sake.
Log to dil bhi taud detey hai!!

Parchayi meri bhi

Parchhayi Meri Bhi Maine Tere Naam Kar Rakhi Hai
Har Saans Meri Tere Naam Kar Rakhi Hai
Tere Inkaar Ne Itna Paagal Bana Diya Hai
Duniya Ne Meri Zindagi Badnaam Kar Rakhi Hai

Miri nazar ke saleeke

Miri nazar ke saleeke me kya nahi aata Bas ek tiri hi taraf dekhna nahi aata

Akele chalna to mera naseeb tha ki mujhe Kisi ke sath safar batna nahi aata

Udhar to jate hai raste tamaam hone ko Idhar se hoke koi raasta nahi aata

Jagaana aata hai usko kai tareekon se Gharon pe dastaken dene khuda nahi aata

Yahan pe tum hi nahi aas paas aur bhi hai
Par us tarah se tumhe sochna nahi aata

Pade raho yoon hi sahme hue diyon ki tarah
Agar hawaon ke par baandha nahi aata

-waseem barelvi

Kitna pyaar diya usse par mila kuch bhi nahi

Kitna Pyaar Diya Usse Par Mila Kuch Bhi Nahi,
Itni Gehri Chahat Ka Hasil-O-Hasool Kuch Bhi Nahi,

Woh Humse Khafa The To Jaan Nikal Gayi Thi Hamari,
Hum Unse Khafa Hai To Unko Malaal Kuch Bhi Nahi,

Is Kadar Dukh Diye Hai Na Jaane Kis Khata Par,
Par Hum Bhi Sabar Kar Gaye Aur Kiya Sawal Kuch
Bhi Nahi,

Uski Khushi Mein Hansne Wale Khaas Hai Uske Liye,
Dukh Mein Uske Saath Hum, Hamari Misaal Kuch Bhi
Nahi..!!! 

Ye duniya mohabbat ki dushman ho gai hai

Ye duniya mohabbat ki dushman ho gai hai

Mohabbat ab dosto kitabo me rahgai hai

Wo din beet gaye jab log pyar me jan diya karte the

Ab to husn ki pyasi duniya rah gaihai

Koi nahi sunta kisi ke dil ki sada

Sabko dilon se khelne ki aadat si ho gai hai~*~

Wo muhabbat bhi teri thi

Wo Muhabbat Bhi Teri Thi
Wo Shararat Bhi Teri Thi,
Agar Kuch Bewafai Thi
To Wo Bewafai Bhi Teri Thi,
Hum Chhod Gaye Tera Shehar
To Wo Hidayat Bhi Teri Thi,
Akhir Karte To Kis Say Karte
Tumari Shikayat,
Wo Shehar Bhi Tera Tha Aur
Wo Adalat Bhi Teri Thi ...

Andar se tukra hu

♥ Andar koi jhanke to tukron mai milunga...

♥ Ye hansta huya chehra to zamane k liye hai..

Bura na man agar mai

Bura Na Man Agar Mai Tujhko Pyar Karta Hun,
Gunah Kon Sa Aisa Mai Yar Karta Hun.

Meri Khataon Me Meri Samjh Ka Nahee Koi Dakhal,
Mai Jo Bhi Karta Hun Be Ikhtiyaar Karta Hun.

Guzar toh jayegi zindagi uss ke baghair bhi lekin

Guzar Toh Jayegi Zindagi Uss Ke Baghair Bhi Lekin..!

Tarasta Rahega Dil Pyaar Karne Waalon Ko Dekh Kar..!!

Teri bey rukhi

Teri Bey 'Rukhi Pay Koi Aitraaz Nahi Humein,

Kis Haal Me Hain Hum Itna To Pooch Liya Karo...

Sehmi sehmi si kyon ho tum

Sehmi Sehmi Si Kyon Ho Tum,♥
Soyi Ho Phir Bhi Jagi Jagi Kyon Ho Tum,♥
Jab Hum Tere Karib Hai Toh Dari Dari Si Kyon Ho Tum,♥
O Sanam Mere Sanam
Teri Raah Hum Hai Phir Bhi Akeli Kyon Ho Tum ,♥♥

Duniya me jeene ki chahat

Duniya me jeene ki chahat na hoti
Agar khudane mohabbat banayi na hoti,
Log marne ki aarzoo na karte
Agar mohabbat me bewafai na hoti.
Yadon me hamari wo bhi khoye honge
Khuli aankhonse kabhi wo bhi soye honge,
Mana hasna hai ada gam chhupane ki
Par haste haste kabhi wo bhi roye honge…

Teri bewafai ko

Teri Bewafai ko Bhula na sakenge..

♥ Chahe b to kbhi muskura na sakenge..

♥ Tujhko to mil gaya Yaar apna..

♥ Apna kisi ko hum bana Na sakenge..

Sacha pyar

Sacha pyaar hamesha galat insaan se hota
hai
.
Aur jab ache insaan se hota hai tb galat
waqt pyar hota hai !♥!

Talaash e zindagi

Hum fir se niklenge talaash-e-zindgi me,,,

bus

duwa karna k is baar kisi se muhabbat na ho..

Chand par kali ghata chati to hogi

Chand par kali ghata chati to hogi,
Sitaro ko muskurahat aati to hogi,
Tum lakh chipawo duniya se magar,
Akele mein tumhe hamari yaad aati toh hogi…

Kash ki koi majboori na hoti

KAASH KI KOI MAJBOORI NA HOTI,
HUM AUR AAP MEIN ITNI DOORI NA HOTI.
AAP SE MILNE KI TAMANNA TO HUMARI BHI
HAI,
LEKIN HAR TAMANNA TO PURI NAHIN HOTI..

Kuch log jo aankhon mein rahe dil mein rahenge ab

Kuch Log Jo Aankhon Mein Rhe Dil Mein Rhenge Ab,
Bas Jagaah Bdal Rhee Hai Koi Duri Nhi Hai,
Hum Aap Sey Mil Naa Sake Jab Dil Chahey Milna,
Faaslon K Bad Bhi Aisi Mazburi Nhi Hai

Faasle mitake dilon me pyaar rakhna

Faasle mitake dilon me pyaar rakhna,
Dosti ka rashta yunhi bekarar rakhna,
Maana ki bahut pyaare pyaare dost hain aapke,
Par un sab ke baad is nacheez ko bhi yaad rakhna…

Dooriyon se farak nahi padta

Dooriyon se farak nahi padta,
Baat to ddilon ke nazdikiyon se hoti hai,
Dosti aap jaise kuch khaas logon se hoti hai,
Warna mulaqat to na jaane roz kitne logon se hoti hai…

Kamyabi badi nahi paane wale bade hote hai

Kamyabi Badi Nahi Paane Wale Bade Hote Hai.
Zakhm Bade Nahi Bharne Wale Bade Hote Hai.
Itihas K Har Panne P Likha Hai.
Dosti Badi Nahi Nibhane Wale Bade Hote Hai…

Ansu bahe to ehesas hota hai

Ansu Bahe To Ehesas Hota Hai,
Dosti k Bina jiwan kitna Udas Hota Hai,
Umar Ho Apki Chand jitni lambi,
Aap jaisa Dost kaha Har kisi k Paas Hota Hai…

Mehfil main kuch to sunana padta hai

Mehfil main kuch to sunana padta hai,
Gham chupakar muskurana padta hai,
kabhi unke hum bhi the dost,
Aaj kal unhe yaad dilana padta hai…

Jasbaate ishq naakam na hone denge

Jasbaate Ishq Naakaam Naa Hone Denge,
Dil Ki Duniya Mein Kabhi Shaam Naa Hone Denge,
Dosti Ka Har Ilzaam Apne Sar Par Le Lenge,
Par Dost Hum Tumhe Badnaam Na Hone Denge…

Khuda ki banai qudrat nahi dekhi

Khuda Ki Banai Qudrat Nahi Dekhi
Dilon Main Chupi Dolat Nahi Dekhi
Jo Kehta Hai Doori Se Mit Jati Hai Dosti
Us Ney Shayud Hamari Dosti Nahi Daikhi…

Sadgi main ek ada itni pyari lagi

Sadgi Main Ek Ada Itni Pyari Lagi
Apki Dosti Humko Subse Nirali Lagi
Yeh Na Tootay Kabhi Yahi Dua Hai
Kyn Ke Yahi Is Duniya Mai Hum Ko Hamari Lagi..

Khushiyon per fizaon ka pehra hai

Khushiyon Per Fizaon Ka Pehra Hai
Na Jane Kis Umeed Pe Dil Thehra Hai
Aapki Aankhon Se Jhalakte Dard Ki Qasam
Ye Dosti Ka Rishta Pyar Se Bhi Gehra Hai..

Dost aisi tadap hai jo

Dost aisi tadap hai jo dil se nahi nikala jata,
Dil mein chupi aag ko bujahaya nahi jata,
Kitni bhi duri ho dosti mein,
Aap jaise dost ko bhulaya nahi jata…

Dil tootna sazaa hai

Dil tootna sazaa hai mohabbat ki,
dil jodna ada hai dosti ki.
Maange jo kurbani woh hai mohabbat,
jo bin maange ho jaye kurban wo hai dosti hamari…

Na jane kab wo haseen raat hogi

Na Jane Kab Wo Haseen Raat Hogi,
Jab Unki Nigahe Humari Nigaho Ke Saath Hogi,
Baithe Hai Hum Uss Raat Ke Intezaar Me,
Jab Unke Hontho Ki Surkhiya Humare Hontho Ke Saath Hogi.

Aap jo so gaye to khwab hamara aayega

Aap jo so gaye to khwab hamara aayega
Ek pyari si muskaan aapke chehre per layega
Khidki darwaje dil ke khol ker sona
Warna aap hi batao hamara khwab kha se aayega…

Aaj kitne dino baad hui

Aaj kitne dino baad hui yeh barsaat hai
Yaad dilati yeh aapki har baat hai
Mujhe maloom hai aapki aankhon mein hai neend
Aap chain se so jao kitni haseen raat hai…

Yaadon ki keemat wo kya jaane

Yaadon Ki Keemat Wo Kya Jaane,
Jo Khud Yaadon Me Mita Diya Karte Hain,
Yaadon Ka Matlab to Unse Pucho,
Jo Yaadon Ke Sahare Jiye Karte Hain…

Ishq aisa karo ki dhadkan me bas

Ishq Aisa Karo Ki Dhadkan Me Bas Jaaye,
Saans Bhi Lo To Khushbu Usi Ki Aaye,
Pyaar Ka Nasha Aankhon Pe Chaa Jaaye,
Baat Kuch Bhi Na Ho Par Naam Usi Ka Aaye…

Pyaar me milna jaruri nahi

Pyaar Me Milna Jaruri Nahi,
Pyaar Mein Izhaar Bhi Zaruri Nahi,
Zaruri Sirf Ehsaas Hai Jo Zindagi SaNwarde,
Unhe PaAna Ya Na Pana Zaruri Nhi…

Palko ko humne jab bhi jhukaya hai

Palko ko humne jab bhi jhukaya hai,
Bas ek hi khayal aaya hai,
Jis khuda ne tumhe banaya hai,
Tumhe dharti pe bhejke bhala wo kaise jee paaya hai…

Pal pal uska saath nibhate hum

Pal pal uska saath nibhate hum,
Ek ishare par duniya chor jaate hum,
Samnder ke beech mein pahunch kar fareb kiya usne,
Wo kehta to kinare par hi doob jaate hum…

Taras gaye apke deedar ko

Taras gaye apke deedar ko,
phir bhi dil aap hi ko yaad karta hai,
humse khusnaseeb to apke ghar ka aaina hai,
jo har roz apke husn ka deedar karta hai…

Sirf isharoon mein

Sirf Isharoon Mein Hoti Mohabbat Agar,
In Alfazoon Ko Khoobsurati Kaun Deta?
Bas Pathar Bann Ke Reh Jaata “Taj Mahal”,
Agar Ishq Isse Apni Pehchan Na Deta…

Meri barbadi par tum koi

Meri Barbadi Par Tum Koi Malaal Na Karna
Bhool Jana Mera Khyal Naa Karna,

Hum Teri Khusi Ke Liye Kafan Ordh Lengey
Par Tum Meri Laash Se Koi Sawal Naa Karna...!!!

Aaj woh apne ho kar bhi

Aaj Woh Apny Ho Kar Bhi Begany Lagey
Jesy Hawaa Ke Thandy Jhonky Humain Jalany Lagy,

Meri Ek Aah Pey Girty They Jin Key Hazaron Aansu
Aaj Woh Mere Zakhmon Pey Muskaraney Lage...!!!

Pyar kar ke tujhe dil se

Piyar Kar Ke Tujhe Dil Se Mitana Mushkil Hai
Yeh Tufan Ab Palkon Par Rok Pana Mushkil Hai,

Aasan Lag Raha Hai Tujhe Yaad Kar Ke Mar Jana
Q Ke Tujhe Bhool Kar To Jina Pana Muskil Hai...!!!

Kisi ki chahat me barbad ho gaye

Kisi Ki Chahat Me Barbad Ho Gaye
Apni Hi Khushiyon Ke Khilaf Ho Gaye,

Chale The Hum Sab Ko Khushiyan Dene
Aaj Khud Apni Khushi Ke Liye Mohtaj Ho Gaye...!!!

Sadyon se ik sapna hai

Sadyon Se Ik Sapna Hai,
Kaho Pura Karo Gey Tum?

Bhol Jao Mere Siwa Sab Kuch,
Kaho Aisa Karo Gey Tum?

Nhi Kuch Or Tamana Ab,
Ke Bus Mery Ho Jao Tum,

Kabi Na Chor Ke Jao Gey,
Kaho Aisa Karo Gey Tum?

Faqt Ik lafz Sunne Ko,
Kai Barson se Tarsy Hain,

MUJHE APNA BANA LO TUM,
Kaho Aisa Karo Gey Tum...??

Tujhe hans k usne bhula dia

Tujhe Hans k usne Bhula dia,
Tu bhi Muskura kar Use Bhul ja.....

Has kar dekha ro kar b

Has kar dekha Ro kar b dekh liya Pyaar kar k B dekha Kho kar B dekh liya zindagi wahi ji sakta hai Jisne akela jina sikh liya

Pyar jab milta nahi toh

Pyar jab milta nahi toh hota hi kyun hain…………
Agar khwab such nahi hote to insaan sota kyu h
Jb yahi pyar aankho ke samne kisi or ka ho jaye
Toh phir yeh pagal dil itnaa rotaa kyun hain……

Uske liye saari duniya

Uske liye saari duniya se bagawat ki thi
Yaad aata hai maine bhi mohabbat ki thi
Usko chhod ke haste huye ghar aakar,
Itna roye the ki aankho ne b shikayat ki thi

Gam na karna

Gam na karna kabhi zindgi me,Kyuki taqdeer badalti rehti hai,Sheesha wohi rehta hai ,Bus tasveer badalti rehti hai

Zindagi ki uljhanon ne hamaari sharaaratein kam di,
Aur log samajhne lage ki humsamajhdaar ho gaye.
Ek talwar ki keemat hoti hai uski dhaar se,
Insaan ki keemat hoti hai uske vyavhaar se.
Yeh bhi ek dua hai khuda se,
Kisi ka dil na dukhe hamari wajah se,
Aye khuda kar de kuchh aisi inaayat hum pe,
Ki khushiyaan hi milein sabko hamaari wajah se.

Intezaar

Har raat chand aur sitare nazar aate hain
Par na tum aate ho, na hi tumhare aane ke aasar nazar aate hain
Rahon mein khade rahe hum
Subhah se sham ho gayi
Ab toh aisa lagta hai, jaise har koshish naakam ho gayi
Tumhare kadmon ke nishan aaj bhi nazar aate hain
Par na tum aate ho, na hi tumhare aane ke aasar nazar aate hain
Palat kar bhi nahin dekha
Kuch socha bhi nahih
Hum toh tumhe apna kehte thay
Par tumne humei apna samjha hi nahin
Kitni aasani se har rishta tod diya tumne
Kya khata ki jo raaste mein chod diya tumne
Kitne mausam aate hain aur
Aakar guzar jaate hain
Par na tum aate ho, na hi tumhare aane ke aasar nazar aate hain
Ek din meri aawaz tum tak jaayegi zaroor
Jise sun kar tumhare dil se aah nikle gi zaroor
Tabh tum jaan jaaoge, tumse pyaar karte hain hum
Tumhari bewafai bhi wafa lagi humko
Isliye toh aaj tak kar
Intezaar karte hain hum.

Kya tere naam pe

Taan-e-aghiyaar hai, ruswai hai, nadaari hai,
Kya tere nam pe marne ka iwaz khwari hai?

Hum tau jeete hain ke duniya mein tira naam rahe,
Kahin mumkin hai saqi na rahe, jaam rahe?

Teri mehfil bhi gai, chahne walw bhi gaye,
Shab ki aahen bhi gaien, subah ke nale bhi gaye,

Samjh jana k wo hon main

Hatheli samnay rkhna
K sub anso grain usmay
Jo ruk jaega honton per
Samjh Jana K Wo Hon Main
Kabhi jo chand ko dekho
To tum muskra dena
Jo chal jaye Hawa Thandi
To ankhein bund kr leena
Jo jhonka tez ho sub sey
Samjh Jana K Wo Hon Main

Jo zyada yad aoun main
To tum ro lena ge bhar k
Agar hichki koi ayay
Samjh Jana K Wo Hon Main

Agar tum bholna chaho
Muje shayed bhula do tum
magr jub sans lena tum
Samjh Jana K Wo Hon Main

Main jab bhi tumhe yaad

MAIN JAB B TUMHE YAAD KARTI THI
ANKHON K NEECHE PAANI TEHER JATA THA
MAIN APNE DIL KO BOHAT SAMJHATI THI
LAKIN PHIR BHI!
ANKHON K NEECHE PAANI TEHER JATA THA MAIN KHUD KO DOOSRON SE CHUPATI THI
LAKIN PHIR BHI ……
KOI NA KOI DEKH HI LETA THA
OR KARNE LAGTA THA TARAH TARAH K SAWAL
MAIN KITNE SAWALO K JAWAB DETI
ISLIYE MAIN KHAMOSHI IKHTIYAAR KAR LETI THI
OR LOG
TUNG AA KAR POOCHNA CHORE DETE THE
LAKIN AAJ
JAB TUM KHUD HI ISKI WAJHA POOCH RAHE HO TO
AE JANAM!
MAIN TUMHE KYA JAWAB DOON?
KYA AAJ BHI KHAMOSHI IKHTIYAAR KAR LOON?
YA BOL DOON ?
K WOH KOI OR NAHI
MERI JAAAN !
SIRF TUM HO
SIRF TUM!
LAKIN NAHI
AGAR MAINNE SACHAI BATA DI TO
TUM JO MERE SAATH HO
BESHUK CHAND LAMHO K LIYE HI
WOH BHI NAHI HOGE ABHI MAIN KAMAZ KAM
TUMHE DEKH TO LETI HOON
ORR
TUMAHARI AIK JHALAK K LIYE
AE JAAN!
MAIN AAJ B KHAMOSHI IKHTIYAAR KAR LOON GI…..

Wo chala aaya khayalon

Wo jo ziddi tha bohat main b to khud’sar thehra,

Mas’ala aur bigarrna hi muqaddar thehra.

Main tau saahil tha jo chalta b to kesay chalta?

Wo b maujon ki tarah aaya to pal bhar thehra.

Chaand pagla tha chala aaya jo meri jaanib,

Main to baadal tha humesha se hi be-ghar thehra.

Wo chala aaya khayalon me mehak ki surat,

Rang dena tha usay aur main pathar thehra.

Kuch hm b junooni thay wafa karnay me,

Aur kuch uski jafaon me tawaatar thehra.

Mohabbat dukh nahi deti

MOHABBAT DUKH NAHI DETI…!!
AGr Be_GHarz Ho JAzBa,
AGr Manzil Baney Rasta,
AGr Chahat K Pardey Mein,
Koi Lalach Na Ho LiPta,
AGr Tum Sonp Do Sab Kuch,
Siley Mein Kuch Nahi MaanGo,
AGr Soda Na Ho Koi,
MOhaBBat Bass Mohabbat Ho,
To Phir Ye Sukh Hi Deti Hai,
Kabhi Bhi Dukh Nahi Deti,
MOHABBAT DUKH NAHI DETI…!!

Zulfein yuin hi

Zulfein Yuin Hi Sar-E-Aam Sanwara Na Keejiye
Be-Mout Hamko Husn Se Mara Na Keejiye.

Lehraate Hain Ye Gaisoo Yuin Ke Dil Machal Uthhe,
Kandhei Ko Ik Ada Se Yuin Usaara Na Keejiye.

Rukhsaar Per Yuin Kha Ke Bal Barpa Rahien Keher,
In Naginon Si Zulfein Ab Awara Na Keejiye.

Kundal Si Bani Lat Terien, Aankhein Hain Chhal Rahien,
Aa-Aa Ke Mere Khwaab Main Ishara Na Keejiye.

Jhatakte Ho Jab Ye Zulfein Toh Shayari Meri Bane,
Per Baandh Ker Inhe Yuin Jaam Khara Na Keejiye.

Ye Zulf Yuin Girayii Tumne Dil Dehal Uthha,
Ye Iltaja Hai Bhool Ye Dubara Na Keejiye.,!!

Jaisi hai teri tamanna

Jaisi Hai Teri Tamanna Waise Pyar Karain Gay,
Har Dharkan Par Apni Wafa Ka Ikrar Karain Gay,

Jahan Bhi Jao Gay Har Qadam Humain Hi Pao Gay,
Ishq Ke Har Mod Par Tera Intizar Karain Gay,

Jee Na Sakain Gay Agar Tum Rooth Jao Gay Hum Se,
Wada Karo Hum Na Kabhi Takrar Karain Gay,

Sawaar Lein Gay Khud Ko Hum Teri Chahat Mein,
Ho Tujh Ko Fakar Waisa Apna Kirdar Karain Gay,

Bana De Tujh Ko Jo Mera Har Saans K Liye,
Khuda Se Hum Wo Dua Bar Bar Karain Gay,

Bas Jain Gay Har Lamhe Mein Pyar Ban Kar,
Tumahri Zindagi K Har Pal Ko Bahar Karain Gay..!!

Suna hai

Suna Hai Es Mohabbat Mein, Boht Nuksan Hota Hai,
Mehkta Jhoomta Jeevan, Ghamon K Naam Hota Hai,

Suna Hai Chain Kho Kr Wo, Sehar Se Sham Rota Hai,
Mohabbat Jo Bhi Krta Ha, Boht Badnam Hota Hai,

Suna Hai Es Mohabbat Mein, Kahin Bhi Dil Nhi Lgta,
Bina Us K Nigahon Mein, Koi Mosam Nhi Jachta,
 
Khafa Jis Se Mohabbat Ho, Wo Jeevan Bhar Nhi Hansta,
Boht Anmol Hai Wo Dil, Ujar Kr Phir Nhi Basta,Suna Hai

Suna Hai is Mohabbat mein, Buht Nuqsan hota hai,,,
Mehkta Jhoomta Jeevan, Ghamon K Naam Hota Hai,,,,

Nigahon Ki Galtiyan

Sab galtiyan nigahon ki hain,
kyon dikhati hain khwab,
kyon dilati hain ehsas jab
pure na ho payein wo khwab,
sab galtiyan nigahon ki hain,
ek pal main dekhta hoon,
koi muskurake to deewani ho jati hain,
choti choti baton pe khushiyon ka
parwana ho jati hain,
bicha deti hain khud ko kisi ke pyar mein,
sab luta deti hain,
sab galtiyan nigahon ki hain,
kabhi sochti hai ho gaya pyar humko,
kabhi kisi ki ruswai mein ro deti hain,
milta nahi jise wo chahe to
kuch aur dekhna nahi chahti hain,
sab galtiyan nigahon ki hain,
har bat ka khud se matlab nikal leti hain,
bin jane kisi aur ki ho jati hain,
ghanto tak intazar karti hain
kisi ke aane ka palkon ko bicha ke,
jab nahin aata hai wo tab maan nahin pati hain
aur aas uske aane ki lagati hain,
sab galtiyan nigahon  ki hain,
main puchta hoon
kyon dekhti ho khwab kisi ke,
kyon chahati ho bepanah kisi ko,
wo meri bat pe
thoda sa muskura deti hain,
bas kuch kah nahi pata unko
kyonki meri nigahein bhi ye
galti bar bar kiya karti hain,
sab galtiyan nigahon ki hain.

I had only you

Somehow I've been blinded,
by the sunshine glow of your smile.
The leaves rustle to match your soft laugh.
As I hold you close I whisper,
"There is only you."
I have only you;
I have only the world.
The wind blows my hair to match your sigh.
You look up at my face and shake your head,
leaning closer to my ear you correct me,
There is only you.
You showed me the dream of being together,
You made me smile  you made me love you,
But why did you let me alone,
I had only you.

Prayer og unborn girl child

Hello friends , this poem is dedicated to all women's  by a unborn girl baby. I'm just trying o explore the feelings of them that what would they request or say to their mother.

Chahe mujhe na pyaar do ,
Chahe mujhe na dular do,
Kar pao tho itna karna,
Mujhe janam se pehle maar  na dena,
Me jannani hun,
Me laxmi hun kisi k aagan ki ,
Me sapna hun kisi  k kalayi ki,
Me saahara hun kisi k zindagi ki,
Me beti hun tere  ghar ki,
Mujhe bhi de do zine ka aadhar,
Maa janam se pehle mat maar.

Mera dosh batao mujhko,
Yun na bebaat satao mujhko,
Me bhi tho ansh hun tumhari,
kaat ke yun phenk na do mujhko,
Jine ka haq de do agar tum,
Dekhlu ye sansaar ek baar,
Maa janam se pehle mat maar.

Thodi nazar badal kar dekho,
Sung zamane ke chal ke dekho,
Me bhi uncha naam karungi,
Beti se bi pehchan  banegi,
Chawthpan me sahara banungi,
Me jab aangan me chalungi,
Mishri si meethi boli bolungi,
Seva ,karuna ,taiyag  karungi, 
Dono kulo ki khatir tan mann dungi waar,
Maa janam se pehle mat Maar...

Kante ne poocha phool se

Ek Din Kante Ne Phool Se Poocha Ke "Ae Phool!"
Mujhe Tumhari Mohabbat Se Kya Haasil Howa?
Mujhe Dekhte Hi Har Koi Apne Tevar Badal Leta Hai Shayad
Is Liye Ke Main Unhain Zakhmi Kar Deta Hoon
Or Duniya Tum Par Marti Hai,
Tumhari Khushboo Lena Ko Tarasti Hai,
Lakin Mujhe Tumhari Mohabbat Se Kya Mila?
Phool Yeh Sada Sun Kar Muskurai or Kehne Lagi
Tumhain To Khush Hona Chahiye Jis Par Duniya Marti Hai !
Woh Tumhare Bagair Aik Pal Bhi Nahi Reh Sakti.
Jab Mujhe Koi Tum Se Juda Karta Hai,
To Main Mar Jati Hoon!
Q Ke Main Sirf Tum Se Mohabbat Karti Hoon!!!

Khayal aaya hoga

Aj dulhan k lal jode m use uski sakhiyo ne sajaya hoga.
Meri jaan k gore hatho ko mehndi se sajaya hoga.
Bahut gehra chadha hoga mehndi ka rang
us mehndi m usne mera naam chupaya hoga.
rh-rh k ro padi hogi jb-jb usko khyal mera aya hoga.
khudko dekha hoga jb aaine me to aks mera b nazr aya hoga
lag rhi hogi bahut hi sunder wo aj dekhkr usko chand b shrmaya hoga
aaj meri jaan ne apne maa baap ki ijjat ko bachaya hoga
usne beti hone ka hr farz nibhaya hoga
mazbur hogi wo sbse jayada
sochta hu kis trh usne khud ko samjhaya hoga
apne hatho se hamare khaton ko jalaya hoga.
khud ko mazbut bna kr meri yado ko mitaya hoga
bhukhi hogi wo janta hu main mere bina usne kuch na khaya hoga.
kese sambhala hoga khud ko jb usne fairon me khud ko jalaya hoga.
pr sochta hun kya in sub k bich use mere dil ka ek bar bi khayal aaya hoga...?

Pehli nazar ka pyar

Bahharon ke shama ek chehra nazar aaya,
Kho gaya mera dil kho gaya mera saaya.
Wo husn ki pari saanson mein yun bhari,
Phoolon ki khusboo bhi kam na kar paaya,
Khilta hua kamal sangmarmar ki kaaya,
Jisse dekh kar gulaab bhi sharmaaya.

Na chahte huye bhi kadam dagmaya,
Khich gaya uski taraf jab wo muskuraya.
Nazrein mili, pyaar ka ijhaar ho gaya,
Jo kabhi na kiya wo is baar ho gaya.

Soch mein pad gaye sun ke wo meri baat,
Boli, bina jaane kaise maanu tumhari baat,
Kya kahu us waqt kya haal tha mera,
Lab unke hothon se nikla naam tha mera.

Hum kuch keh na sake sunte hi rahe,
Unki aankhon ki gehraiyon mein dubte rahe,
Wo maane na meri baat chod k saath,
Keh gaye thaam lo kisi aur ka haath.

Pehli nazar mein jo pyaar ho gaya tha,
Natiza mere doston ye usi ka hua tha,
Kasam khai hai ek din bana kar rahunga,
Dil mein uske khud ko basa ke rahunga.

Meri din aur raat sang uske guzare,
Khawabon mein apne mera khwaab dekhe,
Bana lu main usko saath mein wo ho,
Dua karna jo tum mere saath mein ho.

Likh ke tera naam dilpar

likh ke tera naam dilpar,
dard hazaaro de baitha,
dil keh na saka kuch mujhse,
zulmo ki barsaat kar baitha.

wo rota hai, dukh sehta hai,
par chup chaap sab sehta hai,
par jisne isko dard diya,
dekh ke bas wo hasta hai.

khush hai iske tadapne se,
ye jo uspe marta hai,
berahmi se wo dekhe hai,
dil thoda bhi nai darta hai.

itne aansoo behne par bhi,
wo tujhko duwaye deta hai,
kehta hai wo na marti to kya,
par hum toh uspe marte hai.

Truth about love

1. It hurts to love someone and not be loved in return.
But what is more painful is to love someone and never
find the courage to let that person know how you feel.

2. A sad thing in life is when you meet someone who
means a lot to you, only to find out in the end that it was
never meant to be and you just have to let go.

3. The best kind of friend is the kind you can sit on a
porch swing with, never say a word, and then walk away
feeling like it was the best conversation you've ever had.

4. It's true that we don't know what we've got until we lose
it, but it's also true that we don't know what we've been
missing until it arrives.

5. It takes only a minute to get a crush on someone, an
hour to like someone, and a day to love someone-but it
takes a lifetime to forget someone.

6. Don't go for looks, they can deceive. Don't go for wealth,
even that fades away. Go for someone who makes you
smile because it takes only a smile to make a dark day
seem bright.

7. Dream what you want to dream, go where you want to go,
be what you want to be. Because you have only one life and
one chance to do all the things you want to do.

8. Always put yourself in the others shoes. If you feel that it
hurts you, it probably hurts the person too.

9. A careless word may kindle strife. A cruel word may wreck
a life. A timely word may level stress. But a loving word may
heal and bless.

10. The happiest of people don't necessarily have the best
of everything they just make the most of everything that comes
along their way.

11. Love begins with a smile, grows with a kiss, ends with
a tear. When you were born, you were crying and everyone
around you was smiling. Live your life so that when you die,
you're the one smiling and everyone around you is crying.

Muhabbat kiye jaa rahe the

Bas Sochte-Sochte Tujhko, Raah Me Chale ja Rahe The,
Aankhon me Teri Tasveer Liye, Yaad Kiye Ja Rahe The.

Tabhi Thokar Lagi Sanam, Aur Gir Pade Zameen Par,
Kyunki Aankhen Band Kar Deedar Tera Kiye Ja Rahe The.

Aake Dekhte Ki Kitni Mohabbat Karta Hoon Main Tujhse,
Ki Gir Kar Bhi Palken Band Thi, Aur Pyaar Kiye Ja Rahe The.

Tu aai aur fir chali gai

TU AAI AUR FIR CHALI GAI,
BIN PUCHE MERA HAAL-E-DIL,
KEHTI HO MISS TUM KARTI HO,
TOH AAKAR MUJHSE TU TO MIL.

KEHTI HO PYAAR KARTI HO,
PAR, BAATEIN KYU NAHI KARTI HO,
YUN INTEZAAR BAHUT MUSHKIL HAI,
JO CHUP KAR TUM YU REHTI HO.

KAR LETI HO SABSE BAATEIN,
WAQT HAME KYU NAI DETI HO,
YE DARD JUDAAI KA MUJHKO,
KYU MUJHKO AISE TUM DETI HO.

ULJHAN BAN GAI HAI DIL MEIN,
KYA HAI AB TERE DIL MEIN,
SULJHADO AB IS MUSHKIL KO,
MILTE MUJHSE KYA TERE SAPNE.

Jani anjani koi

Na jane kaun ho tum,
Dil ne kai baar soacha,
Ki tum kaun ho --
Jo mujhe need se jaga dete ho,
Ek ajnabi sa, par phir bhi
Apna sa ehsaas dete ho.
Undekhi, unsuljhi paheli ho tum.
Na jane kaun ho tum.....

Jo har lamha mera saath dete ho,
Har pal tumhara pyaar ka sath mehsoos karate ho,
Chati hun tumhe dekhna.
Chahe wo meri zindagi ka akhri paal hi kyun na ho,
Na jane kaun ho tum.....

Chahu me tumhe itna pyaar dena,
Jo kisi ne kisi se na kiya ho.
Bas,ab itni guzarish hai tumse--
Aa jao samne hamare-
Band karo a loka chupi ka khel humse...
Kahin tumhare is khel se deri na ho jaye?
Na jane kaun kis paal bewaffa ho jaye.....!
Ab bas ek baar hamari mulakath ho jaye.
Na jane kaun ho tum ........

Khwabon ki rani

AANKHON MEIN NEEND AANE KO HAI,
DIN EK AUR FIR JAANE KO HAI,
INTEZAAR KI GHADIYA BADHNE LAGI HAI,
YE SUNI RAAT JO SULANE KO HAI.

EK AUR RAAT FIR BEET JAYEGI,
AANKHON MEIN NEEND JO AAYEGI,
AAYEGI SULANE RAAT KI RANI,
PAR KYA SAPNO MEIN TU AAYEGI.

TUM JO AATI HO MILNE SAPNO MEIN,
MUJHKO MERI NEEND PYAARI LAGTI HAI,
JO MIL NA SAKA KISI RAAT TUMSE,
WO RAAT MUJHKO SATANE LAGTI HAI.

INTEZAAR TERA HAR DIN KARTA HU,
DEEDAR TERA KHWABON MEIN KARTA HU,
KISI DIN BANENGE HAQEEQAT MERE SAPNE,
YEHI SOCHKAR SONE MAIN JAA RHA HU.

Dont quit

When things go wrong as they sometimes will,
When the road you're trudging seems all up hill,
When the funds are low and the debts are high
And you want to smile, but you have to sigh,
When care is pressing you down a bit,
Rest if you must, but don't you quit.
Life is queer with its twists and turns,
As every one of us sometimes learns,
And many a failure turns about
When he might have won had he stuck it out;
Don't give up though the pace seems slow--
You may succeed with another blow,

Success is failure turned inside out--
The silver tint of the clouds of doubt,
And you never can tell how close you are,
It may be near when it seems so far;
So stick to the fight when you're hardest hit--
It's when things seem worst that you must not quit..

Will you marry me

When the breeze kisses the flowers,
When the earth gets the first showers,
When the birds chirp melodious songs,
When I feel lonely among the throngs,
I think of you hours after hours.

When the glistening stars whisper at night,
When the silvery moon throws upon us light,
When the emerald leaves murmur in serenity,
When the clouds float in the sky of divinity,
I think of you with passions bright.

When, in the sky, the rainbows arch in pride,
When, over the hills, the fountains glide,
When the confident roses spread their scent,
When the twilight becomes crescent,
I think of you craving to be your bride.

Acha lagta hai

Uske bin chup-chup rehna aacha lagta hai,
Khamoshi se ek dard ko sehna aacha lagta hai,
Jis hasti ki yaad mein aansun baraste hai,
Samne uske kuch na kehna aacha lagta hai
Milkar usse bichad na jaye darte rehte hai
Isliye bas dur hi rehna aacha lagta hai
Jee chahe apni sari khushiyan laakar usko de du
Uske pyaar mein sab kuch khona aacha lagta hai
Uska milna na milna kismat ki baat hai
Pal pal uski yaad mein rona aacha lagta hai
Uske bina sari khushiyan ajeeb lagti hai
Ro ro kar uski yaad mein sona aacha lagta hai
Humse mohbbaton ki numayaishe na ho saki
Bas itna jante hai
USKO chahte rehna aacha lagta hai

I love you mom

I've copied you my Mother
My words echo your voice
You're my shining example
The one of my choice

Not thinking about it
I've copied your style
The way that you walk
The way that you smile

You fashioned my dreams
You painted my hopes
I've learned to make knots
At the end of my ropes

We all learn to love,
But not from a friend
I learned your strength
And when I should bend

Mom, you've mapped the way
To Heaven above
By teaching me kindness
By teaching me love

Mom i'm thankful to you,
For your presence,
For your love and care,
For always being roof on and peace of my mind .
I Love You  MOM

Tab tak pyar se pyar mat karna

Tab tak pyaar se pyaar mat karna,
Jab tak pyaar aapse pyaar na kare,
Agar pyaar aapse pyaar kare,
Tab  pyaar ko itna pyaar karo,
Ki pyaar kisi aur se pyaar na kare
Palbhar ki bhi tanhai ,
Apke nasib na ho,
dua he koi b gum,
Apke Karib Na ho,
khuda apki Zindagi Me Itni Khushiya de,
Apse badh kar koi khush naseeb na ho.

Beti meri

NANHE NANHE, KADMO SE,CHAL KE WO AATI THI,
AATE HI, FIR PAAS MERE,MUJHKO JAGATI THI,

MUSKURA KE, MUJHKO JO, EK BAAR DEKHTI THI,
DUKH DARD, MERA WO, PAL MEIN BHULATI THI.

MEETHE MEETHE, BOLIYA JO, MUH SE SUNATI THI,
SUNTE HI, DIL MEIN, KHUSHI BHAR JATI THI.

PUCHTI HAI MUJHSE, KARAN, CHOTE APNE HONE KA,
USKE AISE SAWALON PE, HANSI, BAHUT MUJHE AATI THI.

KHELNE KA JAB SANG, MANN, USKA JO KARTA THA,
GHODA BANA, MUJHE KHUD, WO CHADH JATI THI.

NANHI SI JAAN, FIR SABKO BULATI THI,
APNI HASI SE DIL, SABKA BEHLATI THI.

SONE KA JAB, MANN KARE, KANDHE PE CHADH JATI THI,
LORI SUN SUNKE, FIR NEEND MEIN SO JAATI THI.

JANTA HU DIN ,WO, MILEGA MUJHE KABHI NAHI,
PAR, US SAMAY KI, MUJHE YAAD BAHUT AATI HAI.

KHAYAAL KABHI USKA, JO MAIN RAKHTA THA,
AAJ BADI HOKAR, WO MUJHKO SULATI HAI.

Duniya laut jati hai

Duniya laut jati hai,ghum humare naam kar k,
Jaise insaan badal jata hai,Maukaye waqt parast ban kar  k.
Mere dil ko todkar, jodne ki koshish na karna ,
warna hum ruk jayenge firse, apke mohabbat k intezar me.

Jadu tere pyaar ka

Kuch tho aap me baat hogi,
Kuch tho aap me nazakat hogi,
Kuch tho aap me jadu hoga,
Jo lakh samjhane par bhi ,
Dil aapko hi chata hai,
Har khushi me ,har ghum me,
Aap ko hi aapne kareeb pata hai,
Ankhe band karti hun tho,
Aapke  hone ka ehsaas dilata hai,
Kuch tho aapke sath hone ka asar hai
Aur kuch tho humare pyaar ka asar hai,
Na jane kyun ab hum alag  hai...

Kaise mujhe tum mil gaye

Socha na ta Kabhi Hum bhi pyaar karenge,

Kisi  k liye yun bekarar rahenge,

Unki aankho  me yun kho jayenge,

Unke chehre ko yun dil me basayenge,

Unke Muskurahat pe hum yun kurban honge,

Unke ek jhalak k liye hum yun intezar karenge,

Unke labo pe yun humara naam hoga,

Unke chune se hum yun sharma jayenge,

Na jane kya zadu hai unke ek nazar me ,

Jo kabhi na socha tha  wo hum kar baite,

Haan!!  hum pyaar kar baite,

Duniya ka sabse haseen gunaah kar baite,

Ab kaise roku me aapne aap ko,tum hi bata do,

Kaise na me tumhe pyaar karun.

Top quotes

"Life gives us many opportunities to overwrite our mistakes,but we often fail to recognize them !!"

Think twice while reading dis---
"Life as given  many thinks to us, what have we given back to it"

"Blaming others for our mistake is the easiest step that we take to  hide our weakness"

"Being alone is better than being with a person  who don't understand you"

"Life is like a game ,where you get to learn at each step of your life "

"Think before you say any thing , who knows wen does it become true"

"Loving someone is  the easiest task done by any one  but to be loved by some one is  the greatest job!!

"If you want to be successful in life , den stop waiting for the good opportunity, make very opportunity as the best one for you by your hard work "

"Every destination is filled  with obstacles   which you can overcome by your hard work "

"Life is like a mystery ,were every turn you meet is unknown,
were you need to be optimistic and prepared to face the situation."

Short but very true line .....
"Life is mirror of your deeds"

"Life becomes  easy  by the way you react to it"    

I love u

The moment I saw your smile, I LOVED U,
Moment we danced, I LOVED U,
Every moment I spent from very first day with U,I LOVED U,
Moment we laughed together,I LOVED U,
Times when U got angry on me, I LOVED U,
Day when I had hurt U, I LOVED U,
I never want to love U, but I LOVED U,
I never wanted to say that I LOVED U,
I want to be your friend always, but I LOVED U,
My heart says not to talk with U, but I LOVED U,
I don’t want to say this to U, but I LOVE U,
Now I don’t know how much I love, but I LOVE U,
U might not talk to me when U know this, but I LOVE U,
Moment I try to forget U, U flash on my mind all time b'coz I LOVE U,
I know this will happen to me b'coz I LOVE U.
Whatever may be the future, I just want to say,
I LOVE U, I LOVE U, I LOVE U, I LOVE U.'

Love is you

Love is patient, kind and piece of mind,
Love is always there regardless if we care,
Love walks the path sometimes all alone,
It carries us it backs.

Love suffer long as we reach to find our way
Love listen well to all the words we say
It’s always there at the end of our day
Though we may not always recognize it.

Love smile with open arms and welcome us back,
Yeah,love never sleeps nor it die,
Love set us free and break away the chains,
Love brings out emotions out of us.

Love conquers all, love wins the day
Love stand the test of time , learning to accept
Coming to believe it’s always there for you
The greatest thing about love- it’s always there for you.

Love is soul , finding myself in you , Love is YOU

I hate you

I hate you, When you ignore me.
I hate you ,When you are absent at the time when i need you the most,
I hate you ,When you see and talk about other girls ,
I hate you ,When you fight for silly reasons,
I hate you ,When i need to explain you my words,
I hate you ,When you dont trust on me.
I hate you ,For all mistakes but still my heart loves you.

I am falling in love with you

I remember the day when you made me fool with your call,
The very first talk between us, made you so close to me,
I found you close to my thoughts,my way of life,
Just better i got to know you ,with each talk,
Found you the person next to my door of heart,
Person who could value my emotions and respect them the way i want,
I remember the day i met you,every little expression of your care ,cute dimple smile and my silly expression,
The way you call me by all sweet names like baby makes me feel so special and  dear,
The way you say Thank you and B happy to end the conversation,
Makes me angry but still I fell in for you.

Yeah, i  like your silly jokes,naughty talks and dimple smile,
I know you are crazy , but i fell in for you,
I know you need time still but i fell in for you..
I know you might not be feeling the same for me but i fell in for you,
I know i irritate the most but i fell in for you,
I know i did not listen to your words, but i fell in for you,
I may be not right person for you but i fell in for you,
Today i can only say that i love the moments i spend with you,every stupid fights,silly Talks made you close to me and now I'm falling in love with you.

Be someone

Be someone who listens, and you will be heard.
Be someone who cares, and you will be loved.
Be someone who gives, and you will blessed.
Be someone who comfort and you will know peace.
Be someone who genuinely seeks to understand and you will be wise.
Be someone kind, someone considerate,and you will be admired.
Be someone who takes action,and you will move life forward.
Be someone who lifts others higher,and you life will be rich.
Be someone who filled with gratitude,
And there will be no end to the things for which you'll be thankful.
Be someone who lives wit you,with purpose,as your own light brightly shines.
Be in every moment,the special someone you are truly meant to be.

Teri khushi k liye

Do khayalo se meri naraz nahi hut ti
Ek Tere hath ke gulab pe dusra Tere har ik khwab pe,

Do lamho me mera dil zoro se dhadkta hai,
Ek jab Tu mere paas aata hai aur dusra jab Tu mujhse dur jata hai,

Do chijo ke bina main reh nahi sakti
Ek Tera Ehsaas dusra Tera mujhpe vishwas,

Do chijo se Tune mujhpe ehsaan kiya,
Ek mujhse pyar karke dusra mujhpe aitbar karke,

Do chijo ke liye main duniya chhod sakti hoon,
Ek Teri hasi ke liye aur dusra Teri Khushi ke liye..!!

Wo lamha

Thi Main Neend Mein aur Mujhe Itna Sajaya Ja Raha tha,

Bade Hi Pyar Se Mujhe Nehlaya Ja Raha tha,

Na jane Tha Wo Konsa Ajab Khail Mere Ghar Mein,

Bac'chon Ki Tahra'n Mujhe Kandhe Pe Uthaya Ja Raha tha,

Tha Paas Mere Mera Har Apna UsWaqt,

Phir Bhi Main Har Kisi K Mu Se Bulayi Ja Rahi thi,

Jo Kabhi Dekhte Bhi Na Thy, Muhabbat Ki Nigha Se,

Un K Dil Se Bhi Pyar Mujh Pe Lutaya Ja Rahatha,

Maloom Nahi Heran Tha Har Koi, Mujhe Sota Hue Dekh Kar,

Zor Zor Se Ro Kar Mujhe Hansaya Ja Raha tha,

Kaanp Utthi Meri Rooh, Mera Wo Makaa'n Dekh Kar,

Pata Chala Mujhe DAFNAYA Ja Raha tha,

Ro Padi Phir Main Bhi Apna Wo Lamha Dekh Kar

Jahan Mujhe Hamesha ke Liye sulaya ja raha tha .

Mohabbat ki hai

Tere ehsaas se mohabbat ki hai,
Tu mere paas nahi hai phir bhi,
Teri yaad se mohabbat ki hai,
Main tumko kis tarha bhool sakta hoon,
Maine teri har ada se mohabbat ki hai,
Kabhi to usne bhi mujhe yaad kiya hoga,
Maine un lamhe se mohabbat ki hai,
Jinme ho sirf teri or meri baatein,
Maine un baato se mohabbat ki hai,
Aur jo mehka ho sirf teri hi mohabbat se,
Maine un jazbaat se mohabbat ki hai,
Tujhse milna to ab khawaab sa lagta hai,
Maine tere intezaar se mohabbat ki hai.

Mohabbat mein

Jab Milne laga teri Mohabbat mein sakon
Phir yun wo mera sath chod gaya

Abhi bahut baqi thi hasraten dil Mein
Magar wo shakhs adhoori Mulaqat chod gaye

Fakhr to ye hai ki tu tha mera hamsafar kabhi
Dukh ye hai ke beech raah mein tu mera hath chod gaya

Bin tumhare rehna ab ek azab sa lagta hai
Na jane zindagi mein tu kaise Jazbaat chod gaya

Dil me ek halchal se hoti - jab bi hawa chu k guzarti hai,
Na jane un hawao me tu apna ehsaas kyun chod gaya

Wo bewafa shakhs to chala gya zindagi se
Magar Aankhon mein meri Aansu ki Barsat Chod gaya

Ek toota hua dil aur v toot gaya

Ek Kasak Jo Lafzon Ki Agosh Main Sisak Rahi Thi
Ek Dua Jo Dor Arash Pe Bhatak Rahi Thi

Wo Dua Jo Tooty Dil Se Nikal Rahi Thi
Wo Dua Jo Do Labon Pe Machal Rahi Thi

Ki Kash  Ik Sham Wo Lot Aye
Ya Kash Ki Wo Sham Hi Lot Aye

Is Dil Ne Bhut Toot Ke Usy Chaha Tha
Hum Ne Rab Sy Bs Use Hi Manga Tha

Par Meri Dua To Kahin Arash Pe Hi Kho Gaye
Or Phir Taqder Bhi Andher Orah Kar So Gaye

Or Phir Zabat Ka Daman Hum Se Chot Gaya
Ek Toota Hua Dil Or Bhi Toot Gaya

Ek toota hua dil aur v toot gaya

Ek Kasak Jo Lafzon Ki Agosh Main Sisak Rahi Thi
Ek Dua Jo Dor Arash Pe Bhatak Rahi Thi

Wo Dua Jo Tooty Dil Se Nikal Rahi Thi
Wo Dua Jo Do Labon Pe Machal Rahi Thi

Ki Kash  Ik Sham Wo Lot Aye
Ya Kash Ki Wo Sham Hi Lot Aye

Is Dil Ne Bhut Toot Ke Usy Chaha Tha
Hum Ne Rab Sy Bs Use Hi Manga Tha

Par Meri Dua To Kahin Arash Pe Hi Kho Gaye
Or Phir Taqder Bhi Andher Orah Kar So Gaye

Or Phir Zabat Ka Daman Hum Se Chot Gaya
Ek Toota Hua Dil Or Bhi Toot Gaya

Maa

Rimjhim barsaat k baad wo geeli shaam me
galiyaro ko roshan karte deeyo ke ujale me
yaad aata hai us patli si pagdandi par
saanjh dhale wo ghar laut ke aana maa

choolhe par sikti wo taazi roti ki mehak
yaa teri choodiyon ki khanakne ki thi aawaze
jaane kis baat me wo jaadu tha maa
ki door gaaon me khelti bhi, shaam ko
ghar laut aaya karti thi me maa

yun pukaara karti thi tu din bhar
par sun kar ansuna karti thi me maa
aaj teri ik aawaz ko yun tarasti hun maa
aa pahuchi hu door itni tujhse
ki maa k khane ki khushboo ko tarasti hu maa

dhalte din yaha bhi hai, baadal bhi baraste hai
par jaane kyu ye tapish khatam nahi hoti
maati ki wo saundhi mehak yaha nai aati

shor to bohat hoti hai maa, bas ik teri aawaz nahi aati!!

Anjane raho me ek rah ho tum

Anjane raho me ek rah ho tum,
Andheri galiyon k deepak ho tum
Dosti ki undekhi peheli ho tum,
Mano tho meri zindagi k sarthi ho tum,
Dil k kareeb aur labo pe rehte ho tum,
Har dhadkan jo naam le wo naam ho tum,
Band ankho se jo chehra nazar aaye wo chehra ho tum,
Har pal jiske bahon me rehna chahu wo ho tum,
Jis k jhalak k liye tadap rahin hun wo jhalak ho tum,
Jis k naam se mera naam juda wo naam ho tum,
Jis k pyaar k rang me rangi wo pyaar ho tum

Tum milo na milo

Na kiya koi gila, naa shikwa aaj tak,
Khuli kitaab ki tarah chaha hai aaj tak,
mile naa mile mujhe, kabhi tu jahaan mein,
milti rahe khabar teri, yuhi aasmaan mein.
jante hai hum kahenge naa, kuch aap se,
karte rahengey pyaar, bina kisi sawaal ke

Tum milo na milo iski parwah nahi hai,
Mohabbat maine ki, tumse koi hisaab nahi hai.
Khushi teri dekh aankhon mein,nami bhi nai aati,
Khush hai to main khush hu, aur kisi ki aas nahi hai.
Haq bas itna chahta hu, tera deedar ho mujhe,
Tere chehre se mujhe, ab bhi, pyaar yuhi hai.

Ab aisi mohabbat kya karni

Ab aisi mohabbat kya karni,
Jo neend chura le aankhon se,
Jo khwaab dikha kar phuloon ke,
Tabeer mein kaante de jaaye,
Jo gham ki kaali raatoon se,
Har aas ka jugnoo le jaaye,
Jo khwaab sajaati aankhon ko,
Aansoo hi aansoo de jaaye,
Jo mushkil kar de jeene ko,
Jo marne ko aasaan kare,
Woh dil ko pyar ka saagar ho,
Woh yaadoon ko mehmaan kare,
Kehne ko mohabbat hai lekin,
Ab aisi mohabbat kya karni...

Pal do pal pyar ki baatein

Sitara Asmaan Se Na Jane Kab Toot Jaye,
Na Jane Kab In Aankhon Se Ansoo Chhoot Jaye,
Kar Lo Pal Do Pal Baatein Pyar Ki
Na Jaane Kab Jism Sey Yeh Jaan Rooth Jaye.
Sahil per khade khade hamne shaam kardi
Apna dil or duniya aap k naam kar di
Ye bhi na socha kaise guzregi zindagi
Bina soche samjhe her khushi aap k nam kar di..
Wafa ki raah mein dushwariyan tou aati hain
Wafa ki raah ko humwaar karna padta hain
Wo haath rakh ke mere dil pe jab poochhta hain
Tou mujh ko dard se inkaar karna padta hain

Ye zaroori to nahi

Zabt Kabhi Na Kabhi To Aa Jayega Hamain,
Woh Tasalee De Hamain, Yeh Zaroori To Nahi…
Zinda Dil Hai, Hans Kar Do Ghum Seh Lenge,
Har Ghum Mein Tera Saath Ho Yeh Zaroori To Nahi…
Yun To Woh Bohot Wafa-Shaar Hai Magar Phir Bhi,
Har Kadam Pe Wafa Kare, Yeh Zaroori To Nahi…
Hausle Aur Bhi Bhar Jayenge Shikast Ke Baad,
Jeet Yaha Sada Hamari Ho, Yeh Zaroori To Nahi…
Shidat-e-Gham Mein Insaan Ro Bhi Daita Hai,
Saamne Tera Aanchal Ho, Yeh Zaroori To Nahi…
Nazrain Thi Bas Kiya Karti, Paththar Ho Gayi,
Tere Baad Kisi Aur Ko Dekhe, Yeh Zaroori To Nahi….
Hum Ne Hamesha Use Toot Ke Chaha Hai dost,
Woh Bhi Hamain Toot Ke Chahe, Yeh Zaroori Tu Nahi..

Waada karo

Khusbo Ki Tarha Meri Har Saans Mein,
Pyar Apna Basane Ka Waada Karo.

Rang Jitne Tumhari Mohabbat Ke Hai,
Mere Dil Mein Sajane Ka Waada Karo.

Hai Tumhari Wafaon Pe Mujhko Yaqeen,
Phir Bhi Dil Chata Hai Mere Dil Nasheen,
Yunhi Meri Tasalli Ki Khatir Zara,
Mujhko Apna Banane Ka Waada Karo.

Jab Mohabbat Ka Iqrar Karte Ho Tum,
Dhadkano Mein Naya Rang Bharte Ho Tum,
Barha Kar Chuke Ho Magar Aaj Phir,
Mujhko Apna Banane Ka Waada Karo..

Sirf Lafzon Se Iqraar Hota Nahin,
Ik Janib Se Hi Pyar Hota Hai,
Mai Tumhe Yaad Rakhne Ki Khaun Kasam ,
Tum Mujhko Na Bhulne Ka Waada Karo.

Ek chehra khwabo mein kal aaya

EK CHEHRA KHWABO MEIN KAL AAYA ,
AAKAR FIR USNE MUJHKO JAGAYA,
CHUPKE SE DIL KI BAAT KAHI,
KEH GAI DIL KE WO RAAZ KAI.

WO BAATEIN JO AB TAK DIL MEIN THI,
KISI SE JO AB TAK KAHI NA THI,
KEH GAI KYU RAKHA HAI CHUPA KE,
APNE DIL KO ITNA TADPA KE.

MAIN SUNTA RAHA KUCH KEH NA SAKA,
WO BAATEIN JO USNE MUJHSE KAHI,
MERI YAADEIN JISKA KOI RAAZ NA THA,
AAJ BACHA NA THA USSE RAAZ KOI.

HAR BEETE PAL KA EHSAAS HUA,
DUKH MUJHKO ITNA AAJ HUA,
ROTA RHA JAB AANKH KHULI,
KIYE HAI GUNAAH MAINE JO KAI.

KEHNE KI HIMMAT MUJHME HAI NAI,
KEHTA HU TUMSE MAIN AAJ YAHI,
KAR DENA MAAF MUJHKO TUM,
DIYA HAI DARD JO MAINE KOI.

Har geet tumhari yaad dilata

Hr geet tumari yad dilata
tum ho sur ki ganga jaisi,
Us tapti dhup ki chadar me
chhaw tumari baato jaisi,
phulo pe os ki bundo me
tum ho suraj ki kirno jaisi,
puja ki har thali me
tum ho ek vishvas ke jaisi,
rimjhim rmjhim barish me
tum ho bahati nadiya jaisi,
mere dil ki is kahani me
tum ho mithi uljhan jaisi..
Ek pyase jivan me
tum ho 1 saawan jaisi,
bikhre sapno ke jangle me tum ho 1 raste jaisi,
toote dil ki tasviro me
tum ho 1 dhadkan jaisi,
bin mausam ate toofano me
tum ho 1 achal ke jaisi,
mere dil ke kisi kone me
tum ho ek kalpna jaisi.
u lehrati,u ghabrati,u sharmati tum ho bilkul khwabo jaisi..

Behka karte hai

Badi saji thi mahfil socha khudko badnam krte h,
lauta de mere yar ki hasi koi aisa kam krte h,
pite h shrab sabi paimane me
hum to jam piye bina hi behka krte h.
Pite h shrab hum to wo mana krte h,
dete h ilzam jo khud gunah krte h,
krte h jise pyar sabi maykhane me,
hum uska nam sune bina hi behka krte h.
Jiski chaht me paigam hum likha krte h,
bikhre kismt ke pane uski shan me dikha krte h,
dikhti h jiski tasveer sabi ki ankho me,
hum to use dekhe bina hi behka krte h,
yado me jiski rat bhar hum jaga krte h,
bekhabr wo humse khwabo me mila krte h,
bikhar gaye sabi jiski birha me,
hum to unhe yad kiye bina hi behka krte h,
hum andheri raho mein yuhi bhatka krte h,
kahte h log uski muskan pe mita karte h,
mar mite h sabi jiski rah me,
hum to us rah par chale bina hi behka krte h,
likhte h jiska nam hum har paimane pe,
bs ata h uska nam zuban pe jb hum piya krte h.

Ye pal yuhi tham sa jaye

Tum hoti ho jab pas mere,
man karta h waqt ruk jaye,
jilu ji bhar ke is pal ko
ye pal yuhi tham sa jaye..
Tum hasti ho jab sath mere,
man karta h tum yuhi raho
haslu ji bhar ke sath tere
ye pal yuhi tham sa jaye..
Tum deti ho jab sath mera,
man karta h zindagi yuhi kat jaye
jilu ji bhar ke is jivan ko
ye pal uhi tham sa jaye..
Tum darti ho jab u mujse,
man karta h mai mit jau
dur kardu tumse is dar ko
ye pal uhi tham sa jaye..
Tum karti ho jab vishwas mera,
dar lagta h tum kho na jao
chupalu tumko is dil me
ye pal uhi tham sa jaye..
Ye pal uhi tham sa jaye..

Jis dagar par tum mile us dagar par kya mila

Jis gali ko dekhkar mu mod liya karte the hum
us dagar par chalte-2 hum bikhar kar gir gaye
pyar ki jis gali se hum guzarte rah gaye
us dagar par kya mila jis dagar par tum mile,
hum to rahi ban gaye dil ki akeli rah par
us dagar ki kya hawa thi jispe chalkar mar mite
hum ko tanha kah gaye jo ruk sake na ek pal
us dagar par kya mila jis dagar par tum mile,
bhul gaye pyar ko b izhaar karte hi magar
us dagar ki kya khabar jispe chalkar kho gaye
yaad tha kuch humko agar thi wo tumhari har khabar
us dagar par kya mila jis dagar par tum mile
rasta dikha kar ho gaye jo humse hi u bekhabar
us dagar ki kya khata jispe
khushi se hum jiye
pyar ki us berukhi se jal gaye the hum magar
us dagar par hum chale bas jis dagar par tum mile
zindagi se harkar maut ko b chun chuke the hum magar
us dagar par gum mila bas jis dagar par tum mile
is kadar hum thak gaye the har ghadi u har kar
us dagar par kya mila….

Ji karta hai

Ji karta h use dekhta rahu
ji karta h use chahta rahu
ji karta h use pujta rahu
ji karta h use hamesha sach bolu
ji karta h use tum bolu
ji karta h use khush dekhu
ji karta h use harpal dekhu
ji karta h use sunta rahu
ji karta h wo paas rahe
ji karta h wo ehsaas rahe
ji karta h wo muje chahe
ji karta h wo muje mange
ji karta h wo meri ho aur mai uska rahu,
kyu uski har muskan par marne ko ji karta h,
kyu us tak jane wali har rah par chalne ko ji karta h,
kyu use khudse b jyada pyar karne ko ji karta h,
sochta tha hamesha khudke bare mein main,
na jane kyu ab sirf uske bare mein sochne ko ji karta h,
uske har dukh ko apna banane ko ji karta h,
apni har khushi se usko sajane ko ji karta h,
na jane kyu uski tasviro se bhi baat karne ko ji karta h,
na jane kyu uske sath beete har lamhe ko fir jine ko ji karta h…
kya ye pyar h?
Agar h to muje us se apne ap se bhi jyada pyar h
uspe apne ap se bhi jyada aitbaar h
aur bas sirf usi ka intezaar h…

Jane wo meri bekarari ko samajti kyu nahi

Jane wo meri bekarari ko samajti kyu nahi
jo dard muje hota h wo use mehsoos karti kyu nahi,
har pal uske pyar ki galiyo mein bhatakta hu
na jane wo bhule se b waha se guzarti kyu nahi,
do pal guzarne ki chahat h muje uske sath
na jane ek pal b wo mere paas thaharti kyu nahi,
apne pyar se sichta aya hu mai is phul ko
mere pyar ka ye phul uske dil mein khilta kyu nahi,
har pyar karne wale ko milaya h maine u to
fir meri kismat uski tasveer se sawarti kyu nahi,
maar chuka hu har ehsaas ko uske pyar mein
ichhao ka ye ashiyana fir b bikharta kyu nahi.

Tum se nata hai yun wafaon ka

Tum Se Nata Hai Yun Wafaon Ka
Jaesy Khushbo Se Hai Hawaon Ka,
Jaesy Honton Se Hai Duaon Ka
Jaesy Rishta Hai Dhop Chhaon Ka,
Jaesy Jisam Se Rooh Or Jan Ka
Bandhan Hamesha Tum Nibhana,
Mujhe Tanha Chorr Mat Jana
Ab Tum Bin Mujhe Nhi Rehna,
Bas Ab Tum Mary Hi Rehna...!!!

Parwah kar wahi jo

Parwah kar wahi jo teri parwah kare
Zindagi mein jo kabhi na tanha kare
Jaan ban ke utar jaa uski ruh mein
Jo jaan se bhi zyada tujhse wafa kare

Main muhabbat hu mujhe apna karke dekh

Mohabbat hoon Mohabbat karke dekh
Main Mohabbat na doon To kehna
Main muskurahat hoon Mujhe Hansa kar dakh
Na sajoon tare honton per to kehna
Main khushboo hoon mujhe Mehsoos karke dekh
Na mehkoon tari zindagi main to kehna
Main Dil hoon mujhe Sun ker dekh
Na dhakoon Tere Dil main to kehna
Main phool hoon mujhey Laga ker dekh
Na mehkoon din raat To kehna
Main mohabbat hoon mujhe Apna karke dekh
Na banoo main teraa to kehna

Tujhe inkar hai mujhse

Tujhe Inkar Hai Mujse, Mujhe Ikrar Hai Tujhse,
Tu Khafa Hai Mujse, Mujhe Chahat Hai Tujhse,
Tu Mayoos Hai Mujhse, Mujhe Khushi Hai Tujhse,
Tujhe Nafrat Hai Mujhse Aur Mujhe Pyar Hai Tujhse…

Siway tere

Mujhe kisi ki zarurat nahi !
Siway tere…
Mere nazar ko talash jis ki barson
se !
Kisi ke paas wo surat nahi
Siway tere…
Jo mere dil or meri zindagi se khel
sake !
Kisi ko itni ijaazat nahi
Siway tere..!!,.

Kyoon tu acha lagta hai

Kyoon Tu Acha Lagta Hai
”Waqt Mila Tu Sochynge”
Tujh Mein Kiya Kiya Dekha Hai
”Waqt Mila Tu Sochynge”

Saara Shehr Shanaasaai Ka Daa’we-daar To Hai Liken
Kyoon TU Humhara Apna Hai
”Waqt Mila Tu Sochynge”
Ham Ne Usko LIkha THa
Kuch milne Ki Tadbeer Karo Usne LIkha
”Waqt Mila Tu Sochynge”
Mosuam Khuhbu Baad-e-Saba Chand Shafaq or Taaron Mein
Kyooon Tumhare Jaisa Hai
”Waqt Mila Tu Sochynge”
Ya To Apne Dil Ki maanon Ya Duniya waalon Ki
Mashwara Uska Acha Hai
”Waqt Mila Tu Sochynge”
Kyoon Tu Acha Lagta hai
”Waqt Mila Tu Sochynge”

Tujhse ru b ru hokar

Tujhse Ru-B-Ru Hokar Baate Karu, Nigahe Milakar Wafa Ke Wade Karu, Thaam Kar Tera Hath Baithu Tere Samane, Teri Haseen Surat Ke Najare Karu, Sharma Kar Najro Se Tera Kuch Chupke Kah Jana, Teri Nigaho Ke Wo Ishare Samjhu, Teri Har Ek Ada Par Kar Du Kayi Shayari, Har Lafz Me Wafa Ke Dawe Karu, Sambhale Nahi Sambhalti ‘Jaana’ Ye Dil Ki Tadap, Tu Hi Bata Main Kab Tak Yu Aahein Bharu… , Nigahe Milakar Wafa Ke Wade Karu, Thaam Kar Tera Hath Baithu Tere Samane, Teri Haseen Surat Ke Najare Karu, Sharma Kar Najro Se Tera Kuch Chupke Kah Jana, Teri Nigaho Ke Wo Ishare Samjhu, Teri Har Ek Ada Par Kar Du Kayi Shayari, Har Lafz Me Wafa Ke Dawe Karu, Sambhale Nahi Sambhalti ‘Jaana’ Ye Dil Ki Tadap, Tu Hi Bata Main Kab Tak Yu Aahein Bharu…

Nazre mile to

Nazare Mile To Pyar Ho Jata Hai,
Palke Uthe To Izhaar Ho Jata Hai,
Na Jane Kya Kasish Hai Chahat Main,
Ke Koi Anjaan Bhi Hamari
Zindagi Ka Haqdaar Ho Jata Hai.

Ishq ne hame

Ishq ne hame benaam kar diya,
har khushi se hame anjaan kar diya,
hamne to kabhi nahi chaha ke hame bhi mohabbat ho,
Lekin aap ki ek nazar ne hame nilaam kar diya…

Ek shabd hai mohabbat

Ek shabd hai mohabbat-
ise kar ke dekho tum tadap na jao toh kehna….
ek shabd ihai mukaddar-
isse ladkar dekho tum haar na jao toh kehna….
ek shabd hai wafa-
zamane me nahi milti,kahin dhoond pao toh kehna….
ek shabd hai aansu-
dil me chhupa ka rakho,tumhari aankh se na nikle toh kehna….
ek shabd hai judai-
ise seh kar toh dekho, tum toot kar bikhar na jao toh kehna….
ek shabd hai bhagwan-
use pukar kar toh dekho,sab kuchh na pa lo toh kehna….

Kaise kahun ke apna bana lo

♥♥ Kaise Kahun Ke Apna Bana Lo Mujhe,
Baahon Mein Apni Sama Lo Mujhe,
Bin Tumhare Ek Pal Bhi Kat-ta Nahi,
Tum Aa Kar Mujhi Se Chura Lo Mujhe,
Zindagi To Wo Hai Sang Tumhare Jo Guzri,
Duniya Ke Gamon Se Ab Chura Lo Mujhe,
Meri Sabse Gehri Khwahish Ho Puri,
Tum Agar Paas Apne Bula Lo Mujhe,
Ye Kaisa Nasha Hai Jo Behka Raha Hai,
Tumhara Hoon Main To Sambhalo Mujhe,
Na Jaane Phir Kaise Guzregi Zindagani,
Agar Apne Dilse Kabhi Tum Nikalo Mujhe♥♥